Jahañ Dhol W Naach Gana Ho Vahañ Khana Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Sunni K Walime Ka Khana Khasakte Hai Jab K Usme Dhol Baja Naach O Gana Ho?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Dawat E Walima Me Jana Us Waqt Sunnat He Jab Ki Wo Dhol Tashe Baaje Our Digar Khilaf E Shara'a Baatoñ Se Khali Ho, Lihaza Agar Pehle Se Hi Pata He Ke Wanha Ye Sab Khurafat He To Na Jaae, Our Wanha Jane Par Pata Chala to Khaas Jis Jagah Dawat Khilaai Ja Rahi He Us Jagah Khurafat Na Ho to Kha Sakta He, Warna Wapas Aa Jae. Ye Hukm Awam Ke Liye He, Olma W Muqtda Ho to Us Ko Ma'aloom He Ke Jakar Rokunga to Wo Log Khurafat Se Ruk Jaenge to Zaroor Jakar Mana'a Kare Our Janta He Ke Nahiñ Jaounga to Unko Bura Lagega Our in Cheezoñ Se Ruk Jaenge to Na Jaae, Our Un Par Nasihat Asar Hi Na Karti Ho to Peshwa W Muqtda Ko Aysi Jaghoñ Par Jane Se Parhez Karna Chahiye.

Bahare Shariyat Me He,
Daawat Me Jana Us Waqt Sunnat He Jab Ma'aloom Ho Ki Wahañ Gana Bajana, Lahw Laeeb Nahiñ He or Agar Ma'aloom He Ki Ye Khurafat Wahañ Hai to Na Jaye. Jaane Ke Ba'ad Ma'aloom Huva Ki Yahañ Lagwiyaat Hai, Agar Wahiñ Ye Cheezeñ Hoñ to Wapas Aaye or Agar Makan Ke Dusre Hisse Me Hai Jis Jagah Khana Khilaya Jata He Vahañ Nahiñ Hai to Vahañ Beth Sakta He Or Kha Sakta He  Phir Agar Ye Shakhs Un Logoñ Ko Rok Sakta He to Rok De Or Agar Iski Qudrat Use Na Ho To Sabr Kare..

Ye Is Soorat Me He Ki Ye Shakhs Mazhabi Peshwa Na Ho Agar Muqtada W Peshwa Ho, Maslan Aulma E Mashaikh, Ye Agar Na Rok Sakte Hoñ To Vahañ Se Chale Aayeñ Na Vahañ Betheñ Na Khana Khayeñ or Pahle Hi Se Ye Ma'aloom Ho Ki Vahañ Ye Cheezeñ Hai to Muqtada Ho Ya Na Ho Kisi Ko Jana Jaaiz Nahiñ Agarche Khas Us Hissa E Makan Me Ye Cheezeñ Na Hoñ Balki Dusre Hissa Me Ho..
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Walima Or Ziyafat Ka Bayan, Mas'ala-2)*

Agar Vahañ Lahw Laeeb Ho Or Ye Shakhs Janta He Ki Mere Jane Se Ye Cheezeñ Band Ho Jayeñgi To Usko Is Niyyat Se Jana Chahiye Ki Uske Jane Se Munkiraate Sharaiyah Rok Diye Jayeñge Or Agar Ma'aloom He Ki Vahañ Na Jane Se Un Logoñ Ko Nasihat Hogi Or Ayse Mauqa'a Par Ye Harkateñ Na Kareñge, Kyuñ Ki Vo Log Uski Shirkat Ko Zaroori Jante Hai or Jab Ye Ma'aloom Hoga Ki Agar Shadiyoñ or Taqreeboñ Me Ye Cheezeñ Hoñgi to Vo Shakhs Shareek Na Hoga to Us Par Laazim He Ki Vahañ Na Jaye Taaki Logoñ Ko Ibrat Ho or Aysi Harkateñ Na Kareñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Walima Or Ziyafat Ka Bayan, Mas'ala-3)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️4 May 2023, 13 Shawwal Ul Mukarram 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts