Kya Darji Bacha Hua Kapda Rakh Sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Ta'ala Barkatahu

Kisi Kapda Silne Wale Darji Ko Apne Costomer Ka Kapda Chori Karna Kaisa Hai Ya Bacha Huwa Kapda Rakh Sakta Hai Ke Wapis Karna Zaruri Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
 Darzi Ko Kapda Silne Ke Liye Diya He Vo Kapda Darzi Ke Paas Amaanat He Or Bagair Ijazat Usko Rakh Lena Usko Chura Lena Najaiz W Haram He. Darzi Ko Chahiye Ki Vo Bacha Huva Kapda  Wapas Karde, Kapda Silne Ke Baad Agar Itna Ho Jo Qabile Intifa'a Yaani Jisse Faaida Uthaya Ja Sakta He To Fir Us Ko Wapas Kar Diya Jaye... Or Agar Qaabile Intifa'a Nahiñ Jaise Ki Chhote Chhote Tukde Jo Cutting Ke Dauran Nikalte He Voh To Kachra Hai, Uska Malik Ye Tukde  Wapas Leta Bhi Nahiñ.. To Us Chhote Chhote Tukde Rakh Lene  Me To Koi Harj Nahiñ, Lekin Qaabile Intifa'a Zyada Kapda Ho To Fir Usko Wapas Karna Zaroori He, Haañ Agar kapde ka  Malik Ijazat De To Fir Darzi Usko Rakh Sakta He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2023, 11 Shawwal Ul Mukarram 1444**🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts