Mukabbir Na Banaya Or Kisi Ne Apne Aap Hi Takbir Keh di To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Jumaa Ye Eidain Ki Namaz Me Kisi Ko Mukabbir Qarar Na Kiya.
Or Usne Apne Aap Hi Taqbiraat Kahi To Is Masle Me Kya Hukme Sharah Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Ho Jayegi Ki Zaroorat Ke Mauqa'a Par Tableeg Jaaiz He Agarche Imam Ne Ijazat Na Di Ho Balki Mana'a Bhi Kiya Ho Tab Bhi Jaaiz He Albattta Bila Zaroorat Makrooh He.

Fatawa Razviya Me He,
"ھذا باطل لااصل لہ ویجوز التبلیغ عن الحاجۃ وان لم یاذن الامام بل وان نھی”
Ye Batil He Iski Koi Asl Nahiñ Zaroorat Ke Mauqa'a Par Tableeg Jaaiz He Agarche Imam Ijazat Na De Balki Vo Mana'a Bhi Karde Tab Bhi Jaaiz He.
*📚(J-5, S-419)*

Raddul Muhtar Me He,
"ﻭﻓﻲ ﺣﺎﺷﻴﺔ ﺃﺑﻲ اﻟﺴﻌﻮﺩ ﻭاﻋﻠﻢ ﺃﻥ اﻟﺘﺒﻠﻴﻎ ﻋﻨﺪ ﻋﺪﻡ اﻟﺤﺎﺟﺔ ﺇﻟﻴﻪ ﺑﺄﻥ ﺑﻠﻐﻬﻢ ﺻﻮﺕ اﻹﻣﺎﻡ ﻣﻜﺮﻭﻩ ﻭﻓﻲ اﻟﺴﻴﺮﺓ اﻟﺤﻠﺒﻴﺔ اﺗﻔﻖ اﻷﺋﻤﺔ اﻷﺭﺑﻌﺔ ﻋﻠﻰ ﺃﻥ اﻟﺘﺒﻠﻴﻎ ﺣﻴﻨﺌﺬ ﺑﺪﻋﺔ ﻣﻨﻜﺮﺓ ﺃﻱ ﻣﻜﺮﻭﻫﺔ ﻭﺃﻣﺎ ﻋﻨﺪ اﻻﺣﺘﻴﺎﺝ ﺇﻟﻴﻪ ﻓﻤﺴﺘﺤﺐ”
*📚(J-2, S-210)*

Bahare Shariyat Me He,
Agar Imam Ki Takbeer Ki Aawaz Sab Muqtadiyoñ Ko Nahiñ Pahunchti To Bahetar He Koi Muqtadi Bhi Baland Aawaz Se Takbeer Kahe Ki Namaz Shuru'a Hone Or Intiqalaat Ka Haal Sabko Maloom Ho Jaye Or Bila Zaroorat Makrooh Bid'at He.
*📚(J-3, S-521)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️21 Apr 2023, 29 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts