Walidain Or Buzurgoñ Ki Qadam Bosi Karna Kesa ?

 *_❇️Walidein Or Buzurgoñ Ki Qadam Bosi Karna Kesa?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Mera Sawal Hai Ke Aaj Kal Yeh Fail Aam Hua Hai Ke Waliden Khususan Maa or Buzurgon Ke Kadmo Ka Bosa Lete Hai Yeh Jaiz Hai .....rehnumai Farmaye
Sail:Sayyid muhammad 
Hashim Mumbai. 
*بسم اللہ الرحمن الرحیم* 
*🌹JAWAB:-🌹*
Aulma E Kiram W Buzurgane Deen Wagairahum Ke Hath or Paanw Bagarze Ta'azeem Chumna Jaaiz W Rawaa Balki Mustahsan W Mahmood W Masnoon He Jabki Ye Bosa Dena Shahwat Ke Bagair Ho, or Ye Khud Ahaadise Kaseera Wafeera Se Sabit He Ki Sahaba E Kiram رضی اللہ تعالٰی عنہم Ne Huzure Akram Noore Mujassam ﷺ Ke Dasto Paa or Muhre Nabuwwat Ko Bosa Diya... Yuñhi Walidain Ke Hath Paanw Ka Bosa Lena Jaaiz he..

Sunan Abu Dawood Me Hazrat Zare Bin Aamir رضی اللہ عنہ Se Marwi He Ki,
فجعلنا نتبادر فنقبل ید رسول اللہ صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم ورجلہ 
Yaani Phir Ham Jaldi Karne Lage Taaki Ham RasoolAllah ﷺ Ki Bargahe Aqdas Me Hazir Ho Kar Unke Hath or Paanw Ka Bosa Len.
*📚(کتاب الآداب، باب قبلۃ الرجل، ج:2ص:353)*

Durre Mukhtar Me He,
"اما علی وجہ البر فجائز عندالکل"
Yaani Bhalai Ke Tareeqe Par Bosa Dena Sab Ke Nazdeek Jaaiz He.
*📚(کتاب الحظر والاباحۃ،باب الاستبراءوغیرہ،ج:2،ص:244)*

Usi Me He,
"طلب من عالم او زاھد ان یدفع الیہ قدمہ ویمکنہ من قدمہ لیقبلہ احبابہ وقیل لا"
Yaani Kisi Aalim Ya Kisi Zahid (Parhezgaar) Se Kisi Niyaz Mand Ne Ye Darkhwast Ki  Voh Apne Paanw Uske Hawale Karde or unpar Tasallit or Qaabu Paane Ka Ikhtiyar De Taaki Voh Unheñ Bosa De to Aalim or Zahid Uski Darkhwast Qubool Farmaye (Yaani Paanw Chumne Ki Ijazat De) or (Ek Zaeef Riwayat Me) Kaha Gaya Ki Aysa Karne Ki Ijazat Na De.
*📚(ایضا،ص:245)*

Raddul Muhtar Me He,
:*"لمااخرجہ الحاکم ان رجلا آتی النبی صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم فاذن لہ فقبل رجلیہ"
Yaani Is Liye Muhaddis Haakim Ne Uski Takhreej Farmaai Ki Ek Sahab Huzur ﷺ Ki Bargahe Aqdas Me Hazir Huve (Unhoñne Aapke Paanw Chumne Ki Darkhwast Ki) to Huzure Aqdas Ne Unheñ Ijazat Di to Unhoñne Aapke Qadam Chume.

Isi Me He,
التقبیل علی سبیل البر بلا شھوۃ جائز بالإجماع
Yaani Neki Ke Tareeqe Par Bagair Shahwat Ke Bosa Dena Bilittifaq Jaaiz He.
*📚(فتاوی شامی... ج:5، ص:245)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddise Bareilvy Rahematullah Alaihi Likhte Hai,
Bosae Ta'azeem Shar'an W Urfan inhaa E Ta'azeem Se He, Isi Qabeel Se He Bosae Aastana E Kaaba W Bosae Mus'haf W Bosa E Naan W Bosa E Dasto Paaye Aulma W Awliya.
وکل ذلک مصرح بہ فی الکتب کالدرالمختارمن معتمدات الاسفار
(Durre Mukhtar Jaisi Digar Moatamad Kutub Me Is Tamam Ki Tasreeh Ki Gai He)
Khud Ahaadise Kaseera Me Sahaba رضی اللہ عنہم Ka Dasto Paaye Aqdas Huzur Purnoor ﷺ W Muhre Nabuwwat Ko Bossa Dena Warid,
کما فصلنا بعضہ فی کتابنا البارقۃ الشارقۃ علی المارقۃ المشارقۃ"
*📚(فتاوی رضویہ مترجم ،ج :22،ص:342،رسالہ ابر المقال فی استحسان قبلۃ الاجلال)*

Ek or Maqam Par Raqam Farmate Hai,
Walidain Ke Hath Paanw Chumna Jaaiz He, or Aulma W Sulha Warsa E Saiyedul Ambiya علیہ و علیہم الصلوۃ والثناء Ki Dast Bosi W Qadam Bosi Sunnate Mustahabba He.
*📚(ایضاً، ص :566)*
واللہ تعالیٰ اعلم وعلمہ أتم واحکم
*✍️Al-Qalam: Hazrat Mufti  Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️11 June 2023, 21 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts