*_Qurbani Ke Janwar Ka Khun Kapdo Par Lag Jaye To Namaz Ka Hukm_*
*🌹SAWAL:-🌹*
*السلام عليكم و رحمة الله و بركاته*
Mai Ijtimai Qurbani Me Janwar Zibah Karta Hu Kaseer Tadad Me Zibah Karte Waqt Khoon K Chete Kapde Par Lag Jate Is Surat Me Namaz Ka Kya Huqm Hoga Q K Gurbani Gah Se Masjid Kareeb Hai Lekin Ghar Dur Hai Kapde Badalne Jana Mushkil Hota Hai.
Qurbani K Janwar K Khoon Kapde Par Lag Jay To Kya Huqm Hoga.
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hidaya Me He,
و قدر الدرھم و مادونہ من النجس المغلظ کالدم و البول و الخمر و خرء الدجاج و بول الحمار جازت الصلوۃ معہ و ان زاد لم تجز "
Yaani Najasate Galeeza Jaise Khun, Peshab, Sharab, Murgi Ka Beet Or Gadhe Ka Peshab Wagairah Ek Dirham Ke Barabar Ya Usse Kam Ho To Namaz Jaaiz He (Yaani Farziyat Saaqit Ho Jayegi Baad Me Uska Ae'aada Wajib He) Or Agar Ek Dirham Se Zaaid Ho To Jaaiz Nahiñ...
*📚(ھدایہ اولین، صفحہ۵۸، باب الانجاس و تطھیرھا، مکتبہ مجلس برکات)*
Or Bahare Shariyat Me He,
Khushki Ke Har Janwar Ka Bahta Khun, Murdaar Ka Gosht Or Charbi.... الخ Ye Sab Najasate Galeeza He...
*📚(Bahare Shariyat, H-2, S-390, Matbuaa Dawate Islami)*
Lihaza Qurbani Ka Janwar Khwah Dusre Khushki Ke Janwar Ya Insan Ka Bahta Khun Najasate Galeeza He... Or Najsate Galeeza Ka Hukm Ye He Ki,
Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye To Uska Paak Karna Farz Hai, Be Paak Kiye Namaz Padhli To Hogi Hi Nahi Or Qasdan Padhi To Gunah Bhi Huva Or Agar Ba Niyyate Istekhfaaaf He To Kufr Huva.
Or Agar Ek Dirham Ke Barabar Hai To Paak Karna Wajib Hai,
Bagair Paak Kiye Namaz Padhi To Makruhe Tehrimi Hui Yani Aisi Namaz Ka Ae'aada Wajib He Or Qasdan Padhi To Gunahgar Bhi Huva.
Agar Ek Dirham Se Kam Hai To Paak Karna Sunnat Hai, Bagair Paak Kiye Namaz Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui Or Uska Ae'aada Bahtar He.
Agar Najasat Patli Ho, Jaise Aadmi Ka Peshab Or Sharab (Mazi) To Dirham Se Murad Uski Lambai Chodai He Or Shariyat Ne Uski Miqdaar Hatheli Ki Gehrai Ke Barabar Batai Yaani Hatheli Khub Fela Kar Hamwaar Rakhe Or Us Par Aahista Se Itna Paani Daale Ki Us Se Zyada Paani Na Ruk Sake, Ab Paani Ka Jitna Failav He Utna Bada Dirham Samjha Jaye Or Uski Miqdaar Taqreeban Yahañ Ke Rupe Ke Barabar He.
*📚 Makhuz:(Bahare Shariyat, H-2, Najasato Ke Muta'alliq Ahkam)*
Wallahu Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️29 June 2023, 10 Zul Hijja 1444*
📲+91
*🌹 SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment