Business Ke Truck Or Darji Ka Silai Machine Par Zakat Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
  Agar Kisi k Pass 7lakh Ki Truck Hai wo Uska Business Hai Usme se Kaymay Karta Hai To Kya us Truck pur Zakat Hogi ?? 

Isi Tarah Kisi Darzi ke Paas kapde Sine ke Machine He To Us Machine Par Zakat Hogi Kya Ye Maale Tijarat Me Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Fatawa Faqihe Millat Me He,
Zakaat Sirf 3 Cheezoñ Par Wajib Hoti He. 
1. Saman Yaani Sona Chand, Note, Paisa
2. Maale Tijarat 
3. Or Charaai Ke Janwar 
Inke Alawa Baaki Kisi Cheez Par Zakat Nahiñ.. 
Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya, J-4, S-428)* Me He..

Or Kiraya Par Chalne Waale Truckoñ or Busoñ Ki Qeemat Mazkoora Cheezoñ Me Se Koi Nahiñ... Lihaza Zakat Sirf Un Gaadiyoñ Ki Aamdani Par Wajib He Qeemat Par Nahiñ. Is Liye Ki Qeemat Par Zakat Wajib Nahiñ K Kiraya Par Chalane Ke Saman Kamane Ke Aale Me He or Un Par Zakat Nahiñ.
Albatta Jin Gaadiyoñ Ko Bechne Ki Niyyat Se Kharida Gaya Unki Qeemat Par Zakat Wajib He.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-306)*

Lihaza Business Ke Liye Liya Hua Truck Kiraya Par Chalate He to Us Ki Khud Qeemat Par Zakat Nahiñ.. Balki Usse Jo Aamdani Ya Kiraya Hasil Hoga Vo Aamdani Agar Tanha Ya Dusre Amwaale Zakat Ke Sath Mil Kar 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Pahunch Jaye to Us Par Zakat Hogi. 

Or Agar Vo Truck Bechne Ki Niyyat Se Ho Tab To Us Par Zakat Wajib Hogi..

Or Darzi Ka Silaai Machine Bhi Kamane Ke Aale Me Se He Maale Tijarat Me Se Nahiñ Us Par Zakat Nahiñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️25 March 2024, 14 Ramzanul Mubarak 1445*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑Grp*
•┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts