*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Ek Khatoon Ne Apne Hatho Me Mehndi Lagawai Us Waqt Use Pata Na Tha K Is Me Chemical Ki Milawat He Baad Me Pata Chla.
To Is Soorat Me Us Khatoon K Wuzu Gusl or Namaz or Digger Umure Shraiyyah K Bare Me Kya Hukme Sharah He?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Chamical Wali Mahendi Aam Mahendiyoñ Se Kuchh Alag Hoti He, Jiska Rang Bara Gahra Charta He, Lekin Isse Khaal Par Aysi Parat Nahiñ Banti Jo Wuzu or Gusl Me Khaal Tak Paani Pahunchne Ke Liye Rukawat Ho. Lihaza Uske Lage Rahne Se Wuzu or Gusl Durust Ho Jayega.
Ma'aloom Hona Chahiye Ki Bilkul Yahi Kaifiyat Vote Dene Ke Baad Lagaai Jaane Wali Siyaahi Ki Bhi Hoti He Jo Nikalne Ke Waqt Parat Ban Kar Nikalti He..
Bahare Shariyat Me He,
Jis Cheez Ki Aadmi Ko Umooman Khusoosan Zaroorat Parti Rahti He or Uski Nigahdasht W Ehtiyat Me Harj Ho, Nakhunoñ Ke Andar Ya Upar Ya Kisi or Dhone Ki Jagah Par Usme Lage Rah Jaane Se Agarche Jarm Daar Ho Agarche Uske Niche Paani Na Bahe Agarche Sakht Cheez Ho Wuzu Ho Jayega. Jaise Pakaane Waloñ Ke Liye Aata, Rangrez Ke Liye Rang Ka Jarm, Aurtoñ Ke Liye Mahendi Ka Jarm.
*📚(Hissa-2, S-16, Qadri Kitab Ghar Bareily Shareef)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️Al-jawab: Hazrat Maulana Shahabuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam Ahemdabad*
*🗓️5 Nov 2023, 20 Rabi Ul Aakhir 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment