*Gause Aazam Or 12 Saal Purani Dubi Hui Kashti Ko Bahar Nikalne Wale Waqeaa Ki Haqeeqat*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Aaj Kal Gyarvi Ke Kaafi Bayanat Hore Hain Aur Maine Suna Hu Ke Gaus E Azam Ne 12 Saal Purani Kashti Ko Nikala Tha. Iski Daleel Kaafi Dhundi Nahi Mili Aur Kaafi Samay Pehle Maine Suna Tha Ke Alahazrat Ne Ise Mangadat Bataya Nahi
*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Bade Peer Sahab (Sarkar Gause Aazam) Rahimahullahi Ta'ala Ki Mash'hoor Karamat He Jo Ki Maulood Shareef W Wa'az Se Me Bayan Ki Jati Hai Ki Ek Burhya Labe Darya Bethi Roti Rhi, Ittefaqan Hazrat Ka Us Taraf Se Guzar Huva. Hazrat Ne Farmaya Ki Is Qadar Kyuñ Roti Ho ? Burhya Ne Arz Kiya: Hazrat ! Mere Ladke Ki Bara (12) Baras Yahañ Darya Me Ma'a Saman Ke Barat Doobi He Me Yayañ Aakar Rozana Roti Huñ, Aapne Dua Farmaai Aapki Dua Ki Barkat Se 12 Baras Ki Doobi Hui Barat Ma'a Kul Saman Ke Saheeh W Saalim Nikal Aai or Burhya Khush W Khuram Apne Makan Ko Chali Gai....
Jiske Jawab Me Farmate Hai,
Agarche Nazr Se Kisi Kitab Me Na Guzri Magar Zaban Par Mash'hoor He, or Usme Koi Amr Khilafe Shara'a Nahiñ, Iska Inkaar Na Kiya Jaye..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-29, S-629, Mas'ala-187)*
Or Sarkar TajushShariyah Alaihir Rahma Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Riwayat Kis Hesiyat Ki He Mujhe Is Waqt Mustahidan Nahiñ, Albatta Ye Waqeaa Mash'hoor Bahut He, Huzur Mufti Aazame Hind Ne Bhi Farmaya Ki,
Jo Doobi Thi Kashti Vo Damme Nikaali,
Tumhe Aysi Qudrat Mili Gause Aazam.
Http://jamiaturraza.com/session/18mar12/23.mp3
Lihaza Is Waqeaa Me Koi Baat Khilafe Shara'a Nahiñ.. Or Mash'hoor Bhi He Jiska Inkaar Na Kiya Jaye.. Or Kai Buzurgone Tahreer Bhi Farmaya.. Iski Mazeed Tafseel Faize Millat Hazrat Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Ki Kitab "Burhiya Ka Bera" Me Bhi Maujud He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Oct 2023, 11 Rabi Us Saani 1445*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment