*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Ulmaye Kiram Mufti Yane Izam Is Masle Mein Ke
Zaid Jinki Ahliya Aalima Hai Ladkiyon/Auraton Ka Madarsa Chalate Hai Kareeb 6 Mah Se Khud Ke Ghar Ke Kamre Mein
Jisme Local Yane Gaon Hi Ki Bacchiyan Aur Kuch Auratein 2 Batches Mein Padhai Jaati Hai Kareeb 1 Se 2 Ghanta Har Roz Sirf Shaam Ko Aur Wahin Pe Haftawari Auraton Ka Iztema Bhi Karati Hai
Yeh Sab Fisabilillah Kiya Jaata Hai....
Zaid Ka Zakaat Aur Sadqat Ke Liye Jamaat Se Juma Mein Eylan Ka Mutalba Kiya Jaa Raha Hai Ke Us Madarse Ko Diya Jaye..
Arz Gujarish Ye Hai Ke Yahan Jakaat Sadqat Jo Mahe Ramadanul Mubarak Mein Digar Madaris Mein Diya Jaata Hai Is Tarah Ke Madarson Mein Dena Uska Masjid Mein Eylan Karna Aur Zaid Ka Iske Liye Mutalba Karna Kaisa Hai...
Barahe Meharbani Rehnumai Faramaye
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sawal Se Zahir Hota Hai Ki Madrase Ki Imdad Zakat Sadqate Wajiba Ke Bagair Ho Jati Hai Is Liye Wahañ Zakat Ka Elan Ka Mutalaba Durust Nahiñ Hai Kyunki Madaris Me Zaroorate Shariya Ki Wajah Se Heela Sharai Kar Ke Zakat Lagai Jati Hai Us Madrse Me Is Ki Zaroorat Nahi Hai..
واللہ اعلم باالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*📬Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at Khargaun, MP*
*🗓️24 March 2024, 13 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment