LIC ki Raqam Par Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Ne Lic Policy Li Ho to.uski Zakat Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Lic Karane Ki Soorat Me Jama'a Shuda Asl Raqam Par Zakaat Wajib He Basharteki Vo Nisab Ko Pahunch Jaye or Us Par Saal Bhi Guzar Jaye, Albatta Uski Adayegi Us Waqt Wajib Hogi Jab Raqam Hath Me Aa Jaye Ya Uska Panchva Hissa Wasool Ho Jaye.. Lekin Agar Koi Apni Aasani Ki Khatir Har Saal Nikalna Chahe to Ye Bhi Jaaiz He.

Majlise Sharai Ke Faisle Me He,
(Lic Ya Is Jesi Digar Insurance Company Me) Asl Jam'a Shuda Raqam Ki Zakat Saal Ba Saal Wajib He Magar Ada Indal Husool Wajib He or Maal Zaaid Hone Ke Baad Asl Nisaab Se Mulhiq Ho Jayega Lihaza Uski Zakat Nisab Ke Holaane Hol Par Wajib Hogi..
*📚(Majlise Sharai Ke Faisle, S-124)*

Isi Tarah Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
(Hdfc Insurance or Lic Ki Jama'a Ki Huve Raqam ) Par Zakaat Ka Hukm Wahi He Jo Bank Me Deposit Raqam Par Zakaat Ka Hukm He, Isme Jab Tak Fd Ya Lic Me Vo Raqam Rahegi Uski Zakat Ada Karna Wajib Nahiñ He Albatta Saal Ba Saal Wajib Hoti Rahegi or Jab Vo Raqam Milegi Ya Paanchva Hissa Hisab Ka Mil Jayega to Us Par Zakat Dena Wajib He..
Http://jamiaturraza.com/session/12aug12/28.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 March 2024, 15 Ramzanul Mubarak 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts