*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Kya Asar Bad Kaza Namaz Pad Sakte Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Haañ Padh Sakte Hai.. Magar Asr Ka Makrooh Waqt Shuru'a Ho Jaye to Jaaiz Jahiñ..
Jaisa Ki Fatawa Razviya Me Isi Tarah Ka Ek Sawal Ki Baad Namaze Asr Ke or Fajar Ke Sajda Karna Jaaiz He Ya Nahiñ Jiske Jawab Me Farmate Hai,
Jaaiz He Magar Jab Asar Me Waqte Karahat Aa Jaye to Qaza Bhi Jaaiz Nahiñ or Sajda Makrooh Agarche Sahaw Ya Tilawat Ka Ho or Sajda E Shukr To Baad Namaze Fajar W Asar Mutlaqan Makrooh..
Durre Mukhtar Me He,
وکرہ تحریما،وکل مالایجوز مکروہ،صلاۃ مطلقا،ولوقضاء اوواجبۃ اونفلا اوعلی جنازۃ وسجدۃ تلاوۃ وسھو،مع شروق واستواء وغروب۔
Makroohe Tahreemi He or Jo Kaam Jaaiz Na Ho Vo Makrooh Hi Hota He Namaz Mutlaqan Khwah Qaza Ho, Wajib Ho, Nafl Ho Ya Namaze Janaza Ho Or Sajda E Tilawat or Sajda E Sahaw. Bawaqte Tulu'a, Istawa or Guroob.
*📚(درمختار کتاب الصلوٰۃ یستحب تاخیر العصر مطبوعہ مجتبائی دہلی ١/٦١)*
Raddul Muhtaar Me He,
یکرہ ان یسجد شکرا بعد الصلاۃ،فی الوقت الذی یکرہ فیہ النفل ولایکرہ فی غیرہ
Namaz Ke Baad Sajdae Shukr Karna in Awqaat Me Makrooh He Jin Me Namaz Makrooh He, Uske Alawa Makrooh Nahiñ.
*📚(ردالمحتار کتاب الصلوٰۃ مطلب طلوع الشمس من مغربہا مطبوعہ مصطفی البابی مصر ١/٢٧٣)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, S-331, Mas'ala-309)*
Or Us Din Ki Asr Ki Farz Padhna Baaqi Thi to Vo Makrooh Waqt Me Bhi Padh Sakta He. Agarche Suraj Dubne Ke Qareeb Ho.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️7 May 2024, 27 Shawwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment