Roza Rakhne Se Marz Badh Jaye Ya Jaan Ka Nuqsan Ho To Kya Ramzan Ka Roza Chhod Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Zaid Jisne Shabaan Mein Bhi Roze Rakhe Abhi Tabiyat Aleel Hai Bukhar Ki Shiddat Hai Kam Nahi Ho Raha
Doctor Ka Kehna Hai Ke Paani Kam Padh Raha Hai
Gala Aur Badan Sukhne Na De. Waqtan Fawaqtan Tar Kare Jyada Paani Pee Kar

Arz Gujarish Ye Hai Ke Kya Ye Sharai Majboori Ho Sakti Hai Ke Abhi Roza Chod Gair E Ramadan Mein Qaza Kare Ya Phir Abhi Chodne Ke 60 Rakhne Honge

Barahe Meharbani Rehnumai Faramaye Jald Jawab Irsal Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Waqai Roze Rakhne Se Jaan Ka Nuqsan Hoga Ya Marz Shadeed Lahiq Hone Ka Guman Hoga Ye Sab Tajarba Se Sabit Ho Ya Saleh Gair Fasiq Musalman Doctor Ke Kahne Se to Roza Na Rakhne Ki ijazat Hai Baad Me Qaza Karega..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*📬Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at, Khargaun Mp*
*🗓️26 March 2024, 15 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts