Sar Me Wig Lagai Ho To Gusl Or Wuzu Hoga Ya Nahiñ ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Aaj Kal Sar Mai  Balo Ki Aisi Wig Ka Istemal Kiya Jata Hai Jo Sar Par Cream Ke Zariye Se Chipka Di Jati Hai  to Kya Is Halat Mai Gusl E Janabat Ho Jayega Aur Us Par Wuzu Ka Kya Hukm Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'oola Me Agar Sar Par Lagwaye Jaane Wale Baal Agar Kisi Ke Hoñ Ya Khinzir Ke Alawa Kisi or Janwar Ke Hoñ Ya Chemical Wagairah Se Bane Huve Masnooi Baal Hoñ to Usko Sar Par Khaal Me Bazariya Opration Pewasht Kar Dene Ki Agarche Gunjaaish He (Lekin Mardoñ Ke Liye Mahaz Apni Khubsoorati Ko Bar Qaraar Rakhne Ki Khatir Masnooi Baaloñ Ka Istemal Khwah Insan Ke Hoñ Ya Kisi Janwar Ke Shar'an Pasandida Nahiñ He) Ya Is Tarah Khaal Par Chaspañ Kar Dena Ki Uska Aasani Se Alag Karna Mumkin Na Ho. Or Is Soorat Me Chuñki Ye Baal Badan Ka Hissa Ban Jaate Hai to Un Par Masah Karna or Gusl Karna Bhi Jaaiz He..

Albatta Agar Wig Aysa Ho Jise Ba Aasani Lagaya or Utara Ja Sakta Ho, Vo Topi Ke Hukm Me He, Wuzu Me Usko Utar Kar Sar Ka Masah Karna Zaroori He.. Malhooz Rahe Ki Kisi Dusre Insan Ke Baal Lagwana Shar'an Najaaiz or Haram He, Khawah Wig Aysa Ho, Jise Ba Aasani Utara Ja Sakta Ho Ya Opration Ke Zariya Sar Me Fit Kar Diya Gaya Ho..

Badaai'a Us Sanaai'a Me He Ki,
ان استعمال جزء منفصل عن غیرہ من بنی آدم اہانة بذلك الغیر و الآدمی بجمیع اجزائه مکرم ولا اہانة فی استعمال جزء نفسه فی الاعادۃ الی مکانه 
 *📚بدائع الصنائع*

Or Isi Me He Ki,
 ولا بأس بذالك من شعر البهیمة وصوفها لانه انتفاع بطریق التزین بما یحتمل ذالك 
 *📚بدائع الصنائع* 

Or Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtaar Me He Ki,
 العضو المنفصل من الحی کمیتته کالاذن المقطوعة والسن الساقطة الا فی حق صاحبه فطاهر وان کثر . قال الشامی السن الساقطة تقدم فی الطهارۃ ان المذهب طهارۃ السن وان کثر ای زاد علی وزن الدرھم فلوصلی به و هو معه تصح صلاته 
*📚در مختار مع رد المحتار* 

Fatawa Shami Me He Ki,
 أنّ الغسل فى الاصطلاح غسل البدن و اسم البدن یقع علی الظاهر و الباطن إلا ما یتعذر إیصال الماء إلیه أو یتعسر کما في البحر 
*📚فتاوی شامی* 

Wuzu or Gusl Ke Ahkaam Par Ye Pahlu Qabile Gaur Hoga Ki Baaloñ Ki Afzaaish Kis Tarah Ki Gai He,
Agar Surgery Ke Taur Par Baaloñ Ko Ugaya Gaya He, Ya Mustaqil Taur Par Baaloñ Ko Chaspañ Kiya Gaya He, to Zaahir He: Ye Ek Mustaqil Uzu Ke Hukm Me Hoga or Jo Ahkaam Fitri Baaloñ Ke Hote Hai Wahi Ahkaam Yahañ Par Bhi Jaari Hoñge, in Baaloñ Par Masah Ke Liye Ya Gusl Ke Liye Unka Nikalna Zaroori Nahiñ Hoga 

Or Agar Baaloñ Ko Mustaqil Taur Par Chaspañ Nahiñ Kiya Gaya, Balki Aarzi Taur Par Lagaya Gaya Ki Lagane Wala Ya Lagane Wali Aurat Jab Chahe Apni Marzi Se Bila Mashaqqat Ke Nikal Le or Jab Chahe Unko Lagale, to Unka Hukm Kharji Shay Ka Hoga or Un Par Wuzu Me Masah Karne Ya Gusl Karne Se Farz Ada Nahiñ Hoga, Balki Wuzu Me Masah Ke Liye Ya Gusle Farz Ke Liye Unko Nikalna Lazim W Zaroori Hoga, Ye Ayse Hi He Jaise Ki Daant Ke Mas'ala Me Hazraate Fuqha Ne Likha He Ki Agar Daant Ko Nikalna Aasan Ho, to Gusl Me Uska Nikalana Zaroori Hoga or Agar Daant Ka Nikalna Aasan Na Ho, to Usko Mustaqil Uzu Qarar Diya Jayega.
واللہ اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Shababuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam, Ahemdabad Gujrat*
*🗓️27 March 2024, 16 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts