*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Charch Se Milne Wala Khana Kha Sakte Hai ? Ishai Yo Ke Charch Se Milne Wala Khana Kya Uska Khana Jaaiz He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kitabiya Ka Yahañ Ka Paka Huva Khana Jabki Isme Koi Haram Shay Na Mili Hui Ho Ya Murdaar Ki Aamezish Na Ho or Na Hi Napaak Bartan Me Pakaya Gaya Ho to Istemaal Me La Sakte Hai.. Magar Maujuda Dor Me Aysa Milna Namumkin He Lihaza Ehteraz Laazim..
Fatawa Hafize Millat Me He,
Isaai or Yuhudi Jo Ahle Kitab Hai or Apne Deen Par Qaaim Hai Unke Yahañ Ka Khana Mutlaqan Jaaiz He, Jabki Kisi Haram Shay Ke Sath Iska Ta'alluq Na Ho. Isi Tarah Hindu Mushrik Ke Yahañ Ka Khana Siwaye Gosht Ke Har Cheez Jaaiz He Jabki Kisi Haram Ke Sath Uska Ta'alluq Na Ho. Haañ Un Logoñ Ke Yahañ Ja Kar Unke Sath Beth Kar Khane Ki Mumaneat Aai He. Isse Bachna Laazim He. Mas'ala Me Bahut Tafseel He Magar Jo Tahreer Kiya Gaya Vo Shaafi W Kaafi He.
*📚(Fatawa Hafize Millat)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Faiz Raza Khan Tahesin Manzari Sahab*
*📬Markaze Ahle Sunnat Bareilly Shareef*
*🗓️27 May 2024, 18 Zul Qa'ada 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment