*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alaykum
Hazrat Sawal Y H Ki Jab Koi Makan or Zameen Ka Hissa Hota Hai Bhaiyo Me Tb Hm Islamic Shariyat Ke Kanoon Se Krte Hai, Agr Koi Islamic Law Ko Chor Kr Court Ke Kanoon Se Faisla Chahta Hai to Kya Y Durust H , Be Shk Islamic Law Se Behtar Koi Kanoon Nhi Hai, Mai Bas Janna Chahta Hu Ki Jisne Islamic Law Ko Chorkr Dunya Ke Law Ke Sath Faisla Krna Chaha to Uspr Kya Hukm Hai Uska Iman Salamt Hai Ya Nahiñ ? Shukriya.
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Iska Ehtiyaati Jawab Yahi He Ki Hindustani Government Ke Vo Qawaneen or Vo Usool Jo Hamari Shariyat Ke Khilaf Nahiñ Jate Un Usool Ko Follow Karna Hamare Liye Zaroori He Taaki Hameñ Kisi Qism Ki Zillat Ka Samna Na Karna Pade, Hameñ Government Ki Taraf Se Kisi Takleef Ya Musibat Ka Samna Na Karna Pade... Rahe Warasat Ke Masaail to Ek Musalman Ke Liye Shariyat Ko Follow Karna Sabse Bunyadi Farz He, Government Ke Hukm Baad Me He..
Qur'an Majeed Me Rab Tabarak Wa Ta'ala Ne Irshad Farmaya,
اِنِ الۡحُکۡمُ اِلَّا لِلّٰہِ ؕ یَقُصُّ الۡحَقَّ وَ ہُوَ خَیۡرُ الۡفٰصِلِیۡنَ
*📚(Surah an'aam, Aayat-57)*
Beshak Hukm Allah Hi Ka He or Wahi Faisle Sunata He or Sabse Bahetar Faisla Sunane Wala Allah Rabbul Izzat He.
وَ هُوَ خَیْرُ الْحٰكِمِیْنَ
Or Vo Sabse Bahetar Faisla Farmane Wala He.
*📚(Surah Yunus, Aayat-109)*
Lihaza Is Aayat Ki Bunyad Par Har Musalman Ke Liye Zaroori He Ki Vo Apne Rab Ke Hukm Ko Follow Kare Chahe Vo Warasat Ka Mas'ala Ho Ya or Koi Mas'ala Ho, Shariyat Ke Hukm Ko Pahle Rakha Jayega, Baad Me Digar Cheezoñ Ko Rakha Jayega..
Ab Raha Ye Ki Government Ke Muaamlaat Me Kuchh Masaail Agar Shariyat Ke Mutabiq He to Aap Usko Follow Kareñge Taaki Hameñ Shariyat Bhi Follow Ho Jaye or Government Ke Masaail Bhi Follow Karne Me Aasani Rahe.. Or Government Ki Taraf Se Hameñ Kisi Qism Ki Taklifoñ Ka Samna Karna Na Pade..
Ab Agar Koi Shariyat Ke Masaail Ko Is Taur Par Nahiñ Manta Ki Shariyat Ko Value Nahiñ Deta, Yaa Ye Ki Shariyat Uske Nazdik Kuchh Nahiñ He to Vo Shakhs Shariyate Mutahhara Ko Halqa Jaanne Ki Bunyad Par Islam Se Kharij Ho Jayega.. Lekin Agar Ye He Ki Vo Shariyat Ko Manta He, Jisko Allah Ne Halal Farmaya Use Halal Janta He or Jo Haram Kiya Use Haram Janta He Lekin Vo Gunah Me Chala Jata He Gunah Kar Leta He, Haram Ya Najaaiz Kaam Kar Leta He, to Vo Gunahe Kabeera Ka Murtakib He or Agar Ayse Kaam Karta He Jo Shariyat Ke Hukm Ke Khilaf He to Use Chahiye Taubah Kare Allah Ki Bargah Me Ruju'a Laaye or Apne Gunahoñ Se Palat Karke Rab Tabarak Wa Ta'ala Ke Ahkaam Ki Taraf Aaye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Salman Mustafai Sahab*
*📬Jamia Madinatul Uloom Ratanpur Kheda Gujrat*
*🗓️31 May 2024, 22 Zul Qa'ada 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment