*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qurbani Ka Bakra Kharidne Ke Baad Usme Koi Aib Aa Jaye to Qurbani Honsakti He ? Kisi Ne Bakra Ko Maar Diya Langda Ke Chal Raha He Tab Qurbani Me Farq Aayega Kya Qurbani Ho Sakti He ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ayb Agar Zyada He to Gani Dusra Janwar Kharide or Ayb Kam He to Qurbani Ho Jayegi Albatta Karahat Hogi..
Bahare Shariyat Me He,
Janwar Ko Jis Waqt Kharida Tha Us Waqt Ayb Na Tha Ki Jis Ki Wajah Se Qurbani Najaaiz Hoti He Baad Me Vo Ayb Paida Ho Gaya to Agar Vo Shakhs Malike Nisab He to Dusre Janwar Ki Qurbani Kare or Malike Jisab Nahiñ He to Usi Ki Qurbani Karle Ye Us Waqt Ue Ki Us Faqeer Ne Pahle Se Apne Zimma Qurbani Wajib Na Ki Ho or Agar Usne Mannat Maani He Ki Bakra Ki Qurbani Karuñga or Mannat Puri Karne Ke Liye Bakri Kharidi Us Waqt Bakri Me Aysa Ayb Na Tha Phir Paida Ho Gaya Is Soorat Me Faqeer Ke Liye Bhi Yahi Hukm He Ki Dusre Janwar Ki Qurbani Kare..
Bhinge Janwar Ki Qurbani Jaaiz He. Andhe Janwar Ki Qurbani Jaaiz Nahiñ or Kaana Jis Ka Kaana Pan Zahir Ho Uski Bhi Qurbani Najaaiz.. Itna Laagar Jis Ki Haddiyoñ Me Magaz Na Ho or Langra Jo Qurban Gaah Tak Apne Paanw Se Na Ja Sake... In Sab Ki Qurbani Najaaiz He...
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Qurbani Ka Bayan, Mas'ala-9, 6)*
Lihaza Bakra Agar Itna Langra He Ki Qurban Gaah Tak Khud Chalke Nahiñ Ja Sakta To Uski Qurbani Najaaiz He... Or Agar Khud Chalke Ja Sakta He To Qurbani Jaaiz...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️11 June 2024, 3 Zul Hijja 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment