*Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qurbani Ka Waqt Daswiñ (10) Zil Hijja Ke Tulu'a Subah Sadiq Se 12viñ Ke Gurub Aaftab Tak He, Yaani 3 Din, 2 Raateñ.. Or Inme Qurbani Ke Liye Afzal Din Pahla Din Yaani 10 Tarikh He...
Bahare Shariyat Me He,
Pahla Din Yaani Daswiñ (10) Tarikh Sabme Afzal He Phir Gyarhaviñ (11) or Pichhla Din Yaani Barhaviñ (12) Sab Me Kam Darja He..
Or Agar Tarikhoñ Me Shak Ho Yaani 30 Ka Chand Maana Gaya He or 29 Ke Hone Ka Bhi Shubah He Maslan Gumaan Tha Ki Untees (29) Ka Chand Hoga Magar Abr Wagairah Ki Wajah Se Na Dikha Ya Shahadateñ Guzriñ Magar Kisi Wajah Se Qubool Na Huiñ Aysi Halat Me Daswiñ Ke Muta'alliq Ye Shubah He Ki Shayad Aaj Gyarhaviñ (11) Ho To Bahetar Ye He Ki Qurbani Ko Barhaviñ (12) Tak Muakkhar Na Kare Yaani 12viñ Se Pahle Kar Daale Kyuñ Ki 12viñ Ke Muta'alliq Tehrviñ (13) Tarikh Hone Ka Shubah Hoga to Ye Shubah Hoga Ki Waqt Ke Baad Me Hui or Is Soorat Me Agar 12viñ Ko Qurbani Ki Jis Ke Muta'alliq Tehrviñ (13) Hone Ka Shubah He to Bahetar Ye He Ki Sara Gosht Sadqa Kar Daale Balki Zabah Ki Hui Bakri or Zinda Bakri Me Qeemat Ka Tafawat Ho Ki Zinda Ki Qeemat Kuchh Zaaid Ho to Us Zyadati Ko Bhi Sadqa Karde.
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Qurbani Ka Bayan, Mas'ala-24)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 June 2024, 8 Zulhijjah 1445*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment