Aurat Iddat Me Ek Ghar Se Dusre Ghar Ja Sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Hazrat Sawal Y H Ki
Koi Orat Iddat Me H or Wo Chati H K Is Ghr Se Dusre Ghr Me Iddat Kre 
Kiya Aisa Kr Sakti H

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Ghar Me Iddat Guzarna Wajib He Usko Bila Zaroorat Chhor Nahiñ Sakti.. Haañ Agar Koi Uzr Ho To Chhor Sakti He..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Jis Makan Me Iddat Guzarna Wajib He Usko Chhor Nahiñ Sakti Magar Us Waqt Ki Use Koi Nikal De Maslan Talaq Ki Iddat Me Shohar Ne Ghar Me Se Usko Nikal Diya, Ya Kiraya Ka Makan He or Iddat Iddate Wafat He Malike Makan Kahta He Ki Kiraya De Ya Makan Khali Kar or Uske Paas Kiraya Nahiñ Ya Vo Makan Shohar Ka He Magar Uske Hissa Me Jitna Pahuncha Vo Qabile Sukoonat Nahiñ or Warsa Apne Hissa Me Use Rahne Nahiñ Dete Ya Kiraya Maangte Hai or Paas Kiraya Nahiñ Ya Makaan Dhah (Gir) Raha Ho Ya Dihne Ka Khof Ho, Ya Choroñ Ka Khof Ho, Maal Talaf W Jane Ka Andesha He Ya Aabadi Ke Kinare Makan He or Maal Wagairah Ka Andesha He to in Soortoñ Me Makan Badal Sakti He..

Or Agar Kiraya Ka Makan Ho or Kiraya De Sakti He Ya Warsa Ko Kiraya De Kar Rah Sakti He to Usi Me Rahna Lazim He..

Or Agar Hissa Itna Mila Ki Uske Rahne Ke Liye Kaafi He to Usi Me Rahe or Digar Warsa E Shohar Jinse Parda Farz He Unse Parda Kare or or Agar Us Makan Me Na Chor Ka Khof He Na Parosiyoñ Ka Magar Usme Koi or Nahiñ He or Tanha Rahe Khof Karti He to Agar Khof Zyada Ho Makan Badalne Ki Ijazat He Warna Nahiñ.. 
Or Talaqe Baain Ki Iddat He or Shohar Fasiq He or Koi Wahañ Aysa Nahiñ Ki Agar Us Ki Niyyat Bad Ho to Rok Sake Aysi Halat Me Makan Badal De.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Sog Ka Bayan, Mas'ala-18)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️6 July 2024, 29 Zulhijjah 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • *•┈┈┈┈┈┈•*
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts