Aurtoñ Ko Artificial Jewellery Pahanna Jaaiz nahiñ...

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 

Muftiyan E Ikram Ki Baargha Mai Ek Sawal Arz Hai

Kya Aurten Artificial Jewellery Pahen Sakti Hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Artificial Jewellery Yaani Sone Chandi Ke Alawa Koi Or Dhaat Ki Jewellery Yaani Taañba, Pital, Kaañsa Loha Wagairah Ke Zewraat Aurtoñ Ko Pahanna Jaaiz Nahiñ.. Or Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Makroohe Tahreemi He Ki Uska Lautana Wajib...

Fatawa Faqihe Millat Me He,
Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Barailvy Alaihir Rahma Dhaatoñ Ke Muta'alliq Farmate Hai Ki
Chandi Sone Ke Siwa Lohe, Pital, Taañbe Rang Ka Zewar Aurtoñ Ko Bhi Mubah Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, Jild-9 Nisf Awwal, Safha-14)*
Or Tahreer Farmate Hai, Ki Taañba, Pital Kaañsa Loha To Aurtoñ Ko Bhi Pahanna Mamnoo'a He Or Us Se Namaz Unki Bhi Makrooh He.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, Nisf Aakhir, Safha-279)*
Or Khatimul Muhaqqiqeen Hazrat Allama Ibne Aabedin Shami Quddassirahus Saami Tahreer Farmate Hai,
التختم بالحدید والصفر والنحاس والرصاص مکروہ للرجال والنساء
*📚(Durre Mukhtar, J-5, S-253)*
Lihaza Kaanch (Yaani Shisha) Or Plastic Ki Chudiyañ Pahanna Or Pahan Kar Namaz Padhna Sahih W Durust He, Or Sone Chandi Ke Alawa Dusri Dhaatoñ Ki Chudiyañ Pahanna Najaaiz Or Pahan Kar Namaz Padhna Makrooh He.
*📚(Ba-Hawala: Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-177)*

_Bareilly Shareef Me Mun'aqid Hone Wale Dasweñ Fiqhi Seminar Me Tay Hua Ki,_
Sone Chandi Ke Alawa Dusri Dhaatoñ Ke Zewraat Ka Istemaal Najaaiz W Makroohe Tahreemi He..

Or Agar Un Zewrat Par Sone Ya Chandi Ka Khol Charha Diya Jaye to Jaaiz...

Or Agar Un Par Mahaz Sone Ya Chandi Ka Paani Charhaya Gaya Ho to Unka Pahanna Najaaiz. Is Liye Ki Sone Ka Paani Ya Chandi Ki Qal'ee Kar Dene Se Asl Shay Ka Hukm Nahiñ Badalta..

Zewraat Ka Istemaal Martaba E Zeenat Me He or Mahaz Zeenat Ke Liye Ksi Mamnoo'e Sharai Ki Rukhsat W Takhfeef Nahiñ Ho Sakti Is Liye Sone Chandi Ke Alawa Dusri Dhaatoñ Ke Zewraat Ka Istemaal Makroohe Tahreemi Hi Rahega Khwah Un Par Sone Ya Chandi Ka Paani W Qal'ee Charhai Gai Ho Ya Na Ki Gai Ho.

Fatawa Razviya Me He,
Zeenat W Fuzool Ke Liye Kisi Mamnoo'e Sharai Ki Aslan Rukhsat Na Hona Bhi Eizaah Se Gani, Jis Par Asl Awwal Badarja Awla Daleele Waafi Warna Ahkaam Ma'azallah Hawae Nafs Ka Bazeecha Ho Jayeñ.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-200)*
*Makhuz 📚(Faisla Jaat Sharai Council Bareilly Shareef, S-247,248)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️5 July 2024, 28 Zul Hijja 1445*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

4 comments:

  1. Please join WhatsApp group links

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts