Jiske Paas Dusre Kapde Na No Vo Muharram Me Laal, Hara Or Kale Rang Ke Kapde Pahan Sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatu..

Hazrat Mere Sawal Hai Ke Ek Hazrat Kehte Hai Ke Lal,hara Aur Kala Kapde Murharam Ke Mahine Me Bepanha Najaiz Hai Aur Ye Kapde Sakti Se Nahi Penhana Chahiye Kyunke Ye Shai Rafazi Log Ka Tarika Hai. Ager Kise Ke Pass Dusre Kapde Na Ho Toh Kya Vo Ye Kapde Pehna Sakta Hai??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Ke Paas or Kapde Na Ho or Vo Apni Satar Chhupane Ki Hi Niyyat Se Vo Kapde Pahanta He or Khas Muharram Ki Wajah Se Nahiñ He to Isme Harj Nahiñ He... Kapde or Hoñ or Sog Ki Niyyat Se Ya Taziyadaroñ Ya Rawafiz Ka Tareeqe Se Pahne to Ye Mushabihat Ki Wajah Se Mana'a Kiya Gaya He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*🎙️Al-Jawab:- Ustazul Asatza, Hafize Ahaadise Kaseera, Hazrat Allama Mufti Ashraf Raza Sahab Burhani*
*📬Jamia Madinatul Uloom, Ratanpur Kheda Gujrat*
*🗓️10 July 2024, 3 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts