"Khuldvañ He Har Ek Qadri Ke Liye " Kya Har Qadri Jannat Me Jayega Ye Dawa Karna Durust He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Akhatre Qadri Khuld Me Chal Diya, Khuldva He Har Ek Qadri Ke Liye..

Kya Ye Sher Durust He ? Isme Ye Da'awa Kese Ki Jannat Har Ek Qadri Ke Liye He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Pahle To Ye Jaan Le Ki Ye Sher Kisi Ayse Waise Ka Nahiñ, Balki Apne Waqt Ke Sabse Bade Mufti, Qazi Ul Quzzat Fil Hind, Marjaul Aulma W Fuqha, Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ka He,
Akhtare Qadri Khuld Me Chal Diya,
Khuldva He Har Ek Qaadri Ke Liye...

Ye Bilkul Ahaadis or Buzurgoñ Ke Qaul Par Sahih He.. Isme Koi Shubah Nahiñ... Is Par Ye Aapka Aitraz Karna Ki Ye Ye Kaise Dawa Kar Diya Ki Jannat Qadri (Gause Aazam Ke Mureedoñ ) Ki He ? Ya Ye Aitraaz Ke Aap Jannat Me Hi Jayeñge Ye Dawa Kese ?? To Iska Jawab Pahle Ahaadise Kareema Se Parhe...

Badi Mash'hoor Hadeese Paak He,
Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya,
Bani Israail 72 Firqoñ Me Bate the, Meri Ummat 73 Firqoñ Me Bat Jayegi, Unme Se Ek Jannati, Baaqi Sab Jahannum Me Jayeñge.. Puchha Gaya: Ya Rasoolallah ﷺ Vo Jo Ek Jannati Hoga, Vo Kon Hai ? Farmaya: 
مَا اَنَاعَلَیْہِ وَ اَصْحَابِی 
Yaani Vo Giroh Jannati Hoga Jo Mere or Mere Sahaba Ke Raste Par Chalega.
*📚(ترمذی ، کتاب الایمان ، باب ہذہ الامۃ ، صفحہ : 622 ، حدیث : 2641)*

Hazrat Mulla Ali Qaari Rahmatullah Alaih Is Hadees Ko Bayan Karke Farmate Hai,
Is Baat Me Koi Shako Shuba Nahiñ Ki Vo Jannati Giroh Ahle Sunnat Wa Jama'at Hi He 
*📚(Mirqaat, Sharah Mishkaat, J-1, S-248)*

Dusri Riwayat Me Farmaya Vo Jama'at He Yaani Musalmanoñ Ka Bada Giroh Jise Sawaade Aazam Farmaya.
*📚(مشکوٰۃ المصابیح،ص:٣٠، قدیمی کتب خانہ)*

Allama Ibne Najeem Rahmatullah Alaih Ne Kitaabul Ashbaah Wan Nazaair Me ناقلا عن المصفى Farmate Hai,
وإذا سئلنا عن معتقدنا و معتقد خصومنا في القائد يجب علينا عن تقول الحق ما نحن عليه الباطل ما عليه خصومنا-هكذا نقل عن المشائخ أنتهى ۔ 
*📚(كتاب الأشباه و النظائر، اعتقاد الإنسان في مذهبه، الفصل الثالث، صفحہ ٢٠٧،چشتی)*
Tarjama: or Jis Waqt Ham Se Puchha Jaye Hamare Aiteqaad or Hamare Mukhalif Ke Aiteqaad Ke Bare Me to Hameñ Wajib He Ham Par Ye Kahna Ki Jis Par Ham Hai Vo Haq He, or Jis Par Hamare Mukhalif He Vo Nahaq He. Aysa Hi Agloñ Se Manqool He.

Or Bhi Kai Ahaadise Kareema or Muhaddiseen Ke Aqwaal He Ki Jannat Me Sirf Ek Naaji Firqa Jo Sahaba or Huzur ﷺ Ke Raste Par He Vahi Jayega or Vo Ahle Sunnat Wa Jama'at He.. To Ye Da'awa Or Ye Sher Bilkul Ahaadise Kareema Ke Mutabiq Hi Hua...

Ab Ye Ki Huzur Gause Aazam Ka Mureed Jannat Me Jayega...

Hazrat Shaikh Abu Abdullah Muhammad Bin Qaaydwani Rahematullah Alaihi Farmate Hai,
Hazrat Saiyeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani Gause Paak Alaihir Rahmato Ridwan Apne Mureedin Ke Liye Is Baat Ke Zaamin Hai Ki Unme Se Koi Shakhs Bagair Taubah Ke Na Marega or Unko Ye Fazilat Di Gai He Ki Unke Mureed or 7 Pusht Tak Unke Mureedoñ Ke Mureed Jannat Me Dakhil Hoñge.
*📚(Bahjatul Asraar, Zikr Fazl as'haab W Basharahum, S-191)*

Hazrat Shaikh Abul Hasan Ali Quraishi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Peerane Peer Roshan Zameen, Gause Aazam Dastageer Rahematullah Alaihi Ne Farmaya:
Mujhe Ek Kagaz Diya Gaya Jo Itna Bada Tha Ki Jahañ Tak Nigah Pahunche Usme Mere As'haab or Mureedin Ke Naam the Jo Qayamat Tak Hone Wale the or Mujh Se Kaha Gaya Ki "Sab Ko Tumhare Sadqe Bakhsh Diya Gaya"..
*📚(Al-Marja Us Saabiq, S-193)*

Hazrat Saiyeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani, Qutbe Rabbani Alaihir Rahmato Ridwan Ne Farmaya,
Me Ne Dozakh Ke Daaroga Hazrat Malik Alaihis Salam Se Daryaft Kiya Ki "Kya Tumhare Paas Mera Koi Mureed He" Unhoñ Ne Kaha: "Nahiñ".. Aap Rahematullah Alaihi Ne Farmaya: Mujhe Mere Ma'abood Azzawajal Ki Izzat W Jalaal Ki Qasam! Mera Hath Mere Mureed Par Aysa He Jis Tarah Aasmaan Zameen Ke Upar He Agar Mera Mureed Umda Nahiñ to Kya Huva Meñ to Umda Huñ..

Phir Aap Rahematullah Alaihi Ne Farmaya,
"Mujhe Apne Rab Azzawajal Ki Izzat W Jalaal Ki Qasam ! Mere Qadam Mere Rab Azzawajal Ke Saamne Barabar Ruke Raheñge Yahañ Tak Ki Mujh Ko or Tum Ko Jannat Ki Taraf Le Jayeñge"..
*📚(Bahjatul Asraar, Zikr Fazl as'haab W Basharahum, S-193)*

Shaikh Abu Sa'aood Abdullah Rahematullah Alaihi Bayan Karte Hai,
Hamare Shaikh Muhiyuddin Abdul Qadir Jilani Alaihir Rahma Apne Mureedoñ Ke Liye Qayamat Tak Is Baat Ke Zaamin Hai Ki Unme Se Koi Bhi Taubah Kiye Bagair Nahiñ Marega.
*📚(Bahjatul Asraar, Zikr Fazl as'haab W Basharahum, S-191)*

Or Sarkare Gause Paak Qaseeda E Gausiya Me Apne Mureedoñ Ko Dilasa Dete Huve Irshad Farmaya,
مریدی لا تخف اللہ ربی ،
عطانی رفعۃ نلت المنال
Ay Meee Mureed ! Tu Mat Dar , Allah Kareem Mera Rab He, Usne Mujhe Rif'at W Bulandi Ata Farmai He or Me Apni Ummidoñ Ko Pahuñchta Huñ..
*📚(Qasida E Gausiya, S-1)*

Hazrat Bazaar Rahmatullah Alaih Farmate Hai,
Hazrat Saiyeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani, Qutbe Rabbani Alaihir Rahma Se Arz Kiya Gaya Ki " Koi Shakhs Aap Rahematullah Alaihi Ka Naam Leta He Lekin Na to Usne Aap Rahematullah Alaihi Se Bay'at Ki or Na Hi Aap Ka Khirqa Pahna He to Kya Vo Aap Ka Mureed Kahla Sakta He ?"
Ye Sun Kar Aap Rahematullah Alaihi Ne Farmaya: " Jo Shakhs Meri Taraf Mansoob Huva or Mera Naam Le Allah Azzawajal Ke Haañ Vo Maqbool Hoga or Allah Us Par Maharbaan Hoga Agarche Vo Bure Amal Hi Kyuñ Na Karta Ho or Vo Mera Mureed He, Beshak Mere Rab Azzawajal Ne Mujh Se Wa'ada Farmaya He Ki Mere Mureedoñ or Mere Ham Mazhaboñ or Mere Dostoñ Ko Jannat Me Dakhil Karega.
*📚(Al-marja Us Saabiq)*

Isi Liye Ham Kahte Hai,
*Khuldvañ He Har Ek Qadri Ke Liye..*
Lihaza Ye Sher Me Bila Shakko Shubah Koi Harj Nahiñ Balki Ye Bilkul Durust or Ahle Sunnat Ke Aqaaid Ka Tarjaman He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️29 July 2024, 22 Muharramul Haram 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts