*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hinda umrah par jaane wali hai aur uski haiz ki date thik usi tarik hai jis Tarik rawangi hai!
Kya Hinda haiz ko postpone karne ke liye pills khaa sakti hai ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Umrah Par Jaane Ke Liye Aurat Ka Waqti Taur Par Dawa Ke Zariye Haiz Na Rokna Bahetar He, Ki Isse Sehat Ke Liye Nuqsan Ho Sakta He, Bahetar He Ki Jab Tak Khun Aana Band Na Huva Ho Ehraam Ki Halat Me Ruki Rahe Paak Hone Ke Baad Tawaf W Saee Karle..
Jaisa Ki Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Aurtoñ Ko Haj W Umrah Neez Digar Ibadaate Badniya Ke Liye Haiz Band Karne Wali Adwiyañ (Dawaiyañ Medicine) Ka Istemaal Karna Mamnoo'a He Kyuñ Ki Haiz Ke Khun Ko Rok Lena Sehat Ke Liye Muzr He Jisse Bimari Paida Hone Ka Andesha He. Or Jo Cheez Muzre Sehat (Sehat Ke Liye Nuqsan Dah) Ho to Shar'an Mamnoo'a Hoti He.
Lihaza Aurat Ko Maane'a Haiz Ki Dawa Nahiñ Istemaal Karni Chahiye Lekin Agar Istemaal Kar Chuki Hai to Usse Haj W Umrah or Digar Ibadaate Badaniya Maslan Som Salat (Roza, Namaz) Wagairah Me Koi Kharabi Na Aayegi Kyuñ Ki Dame Haiz Ka Aana Hi Maane'a Salaato Som W Tawaf Tha..
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-500)*
Or Hazrat Allama Mufti Ataullah Naeemi Sahab Tahreer Farmate Hai,
Maahvari (Haiz, Period) Ka Khun Ko Dawa Wagairah Se Rokne Ko Shara'a Mana'a Nahiñ Karti Kyuñ Ki Fuqha E Kiram Ne Dawa Ke Zariye Khune Maahwari (Haiz) Ko Band Karne Ka Zikr Farmaya.
Chunanche Allama Rahmatullah Bin Qazi Abdullah Sindhi Hanfi Mutawaffa 993 Hijri or Mulla Ali Qaari Hanfi Mutawaffa 1014 Hijri Likhte Hai,
Yaani, Agar Haiz Wali Aurat Ka Khun Dawa Ke Sath Munqata'a Huva Ya Dawa Ke Bagair..
*📚(لباب المناسك و شرحه المسلك المتقسط في المنسك المتوسط ، باب الجنايات وأنواعها، النوع الخامس : الجنايات في أفعال الحج، فصل: حائض طهرت الخ، ص: ٦٩٦)*
Yahañ Par Allama Rahematullah Sindhi Hanfi Ne Dawa Ke Sath Khun Maahwari (Menstruation) Ke Band Hone Ka Tazkira Kiya Is Par to Tabsara Nahiñ Farmaya Fir Shareh Mulla Ali Qari Hanfi Ne Sharah Me Bhi Uska Koi Hukm Zikr Nahiñ Kiya or Muhashsha Qaazi Husain Bin Muhammad Saeed Makki Hanfi Ne Is Par Koi Hashiya Bhi Tahreer Nahiñ Kiya Jisse Maloom Huva Ki Dawaai Ke Zariye Khune Haiz Band Karna Mamnoo'a Nahiñ.
Or Shart Ye He Ki Tibbi or Jismani Taur Par Unke Liye Is Dawa Ka Istemal Ya Mahwaari Ko Rokna Muzir Na Ho..
Lihaza Agar Bezaroor Dawaoñ Se Maahwari Aane Se Qabl Hi Use Roka Jaye Ya Aane Ke Baad, Ye Rokna Bhi Nuqsan Dah Na Ho Or Usse Auratoñ Ko Ibadat Ka Zyada Mauqa'a Mile To Shara'a Isse Mana'a Nahiñ Karti Or Khawatin Ka Ye Sochna Ki Hameñ Maahwari Aa Gai He To Ham Ibadat Namaz, Umrah, Tawaf Wagairah Se Rok Di Gai Hai Ye Ek Nafsiyati Amr He Warna Maahwari Aa Jane Se Unke Ajr Me Koi Kami Nahiñ Hoti..
*📚(Fatawa Hajj W Umrah, J-11, S-27,28)*
*📚(Fatawa Hajj W Umrah Se Makhuz Aurtoñ Ke Masaail, S-105)*
Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Se Sawal Hua Ki, Haiz (Menstruation) Ki Date Ko Aage Badhane (Postpond) Karne K Liye Tablets Ka Istemal Kya Jasakta Hai ? Jiske Jawab Me Aapne Farmaya Ki,
Kar Sakte Hai..
Http://jamiaturraza.com/session/6mar11/24.mp3
Lihaza Agar Sehat Ki Liye Nuqsan Deh Na Ho to Dawa Ke Zariya Haiz Kuchh Dinoñ Ke Liye Rok Sakti He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️1 Aug 2024, 25 Muharramul Haram 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*
No comments:
Post a Comment