Ulte Kapde Pahan Kar Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum 
Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Ulte Kapde Ulti Topi Ya Pajama Ya Ulti Janamaz Par Dhoke Se Ya Janbujh Kar Namaz Padhi to Namaz Nhi Hogi Jwab Inayat Frmay Shukriya

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ulta Kapda Pahan Kar Namaz Padhne Ke Muta'alliq Bahare Shariyat Me Makroohe Tahreemi Tahreer He Lekin Sarkar Aala Hazrat Radiallahu Anhu Tahreer Farmate Hai Ki Kapda Ulta Pahanna, Odhna Khilaafe Mo'ataad Me Dakhil He or Khilafe Mo'ataad Jis Tarah Kapda Pahan Ya Odh Kar Bazar Me Ya Akabir Ke Paas Na Ja Sake Zaroor Makrooh He Ki Darbare Izzat Ahaqq Ba-adab W Ta'azeem He..

واصلہ کراھۃ الصلٰوۃ فی ثیاب مھنۃ قال فی الدر وکرہ صلٰوتہ فی ثیاب مھنۃ۱قال الشامی وفسرھا فی شرح الوقایۃ بما یلبسہ فی بیتہ ولایذھب بہ الی الاکابر
Asl Ye He Ki Kaam W Mashaqqat Ke Libas Me Namaz Makrooh He "Dur" Me He Namazi Ka Kaam Ke Kapdoñ Me Namaz Ada Karna Makrooh He, "Shami" Ne Farmaya or Uski Tafseer Sharah Waqaya Me He Vo Kapda Jo Aadmi Ghar Pahanta He Magar Unke Sath Akabir Ke Paas Nahiñ Jata..
*📚( درمختار باب مایفسد الصلٰوۃ ومایکرہ فیہا مطبوعہ مجتبائی دہلی بھارت ۱ /۹۱/ ردالمحتار باب مایفسد الصلٰوۃ ومایکرہ فیہا ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ۱ /۶۴۱)*

Or Zahir Karahat Tanzihi..
فان کراھۃ التحریم لابدلھا من نھی غیرمصروف عن الظاھر کماقال ش فی ثیاب المھنۃ والظاھر ان الکراھۃ تنزیھیۃ
Kyuñ Ki Karahat Tahreemi Ke Liye Aysi Nahiñ Ka Hona Zaroori He Jo Zahir Se Mu'awal Na Ho, Jaisa Ki Allama Shami Ne Kaam Ke Kapdoñ Ke Baare Me Kaha Ki Zahir Karahat Tanzihi He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, S-359,360)*
واللہ اعلم با الصواب
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Olpad Surat, Gujarat*
*🗓️11 July 2024, 4 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts