Awliyah Allah Ke Mazar Par Jana Kesa ? Mazar Par Fatiha Ke BaJaye Ka Ghar Par Hi Fatiha Kar Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Auliya Ke Mazaar Par Ja Sakte Hai Aur Agar Ja Sakte Hai ? Dargah Par Jaane Ke Bajaay Ghar Par Hi Yaad Karke Fatiha Padh Sakte Hai Ki Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mazarate Awliya Par Jana Bilashubha Jaaiz, Mustahsan, Sunnate Rasool ﷺ Wa Baaise Khairo Barkat He Ki Mazarate Auliya Manba E Anwar W Mazhare Tajalliyat Hote Hai, Wahañ Khuda Ki Khas Rahmateñ Utarti Hai, Hazri Dene Wale Ahle Zauq Dil Ki Rahat or Rooh Ka Sukoon Mahsoos Karte Hai. Unki Bargah Par Beth Kar Allah Ta'ala Ki Bargahe Me Daste Duaa Daraz Karne Se Beshumar Deeni W Dunyavi Fawaaid Hasil Hote Hai. Balki Unke Waseele Se Dua Karne Ya Unki Bargah Me Beth Kar Dua Karne Se Dua Jald Qubool Hoti He. Or Ye A'imma E Deen or Aslaaf Ka Tareeqa Raha He Ki Vo Nek Bandoñ Ke Mazarat Par Hazri Dete or Unke Tawassul Se Dua Bhi Karte. Lihaza Buzurgane Deen Ke Mazarat Par Hazri Dena, Wahañ Beth Kar Zikro Azkaar Karna, Durood W Tilawate Qura'an Padhna, Khuda Ko Yaad Karna Apni Aakhirat Ki Fikr Karna or Buzurgane Deen Ke Waseele Se Allah Ki Bargah Me Dua Karna Yaqeenan Noore Qalbi Ko Jila Bakhshne Wala, Roohaniyat Badhane Wala Mustahsan Amal He..

Huzur ﷺ Ki Aadate Mubaraka Thi Ki Aap Har Saal Shohda E Uhad Ki Quboore Mubaraka Par Tashreef Le Jate the Jaisa Ki Musannaf Abdul Razzaq Me He,
’’ كان النبي صلى اللہ عليه وسلم يأتي قبور الشهداء ‌عند ‌رأس ‌الحول، فيقول:’’ السلام عليكم بما صبرتم، فنعم عقبى الدار‘‘، قال: وكان أبو بكر، وعمر، وعثمان، يفعلون ذلك‘‘
Nabi E Kareem ﷺ Saal Ke Shuru'a Me Shohda E Uhad Ke Mazarat Par Tashreef Le Jaya Karte the or Farmate the:
"السلام علیکم بما صبرتم فنعم عقبی الدار“
Raawi Kahte Hai Ki Hazrat Abu Bakar, Umar, Usman Radiallahu Anhum Ki Bhi Aadate Mubaraka Yahi Thi or Vo Bhi Aysa Hi Kiya Karte the.
*📚(المصنف لعبد الرزاق، جلد 04، صفحہ 289، مطبوعہ  دار التاصیل)*

Or Ek Riwayat Me He,
Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya,
"كنت ‌نهيتكم عن زيارة القبور، فزوروها؛ فإنها تزهد في الدنيا، وتذكر الآخرة "
Tarjama: Me Pahle Tumheñ Qabroñ Ki Ziyarat Karne or Wahañ Jane Se Mana'a Karta Tha, Lekin Ab Tum Ziyarate Quboor Ke Liye Jaya Karo, Kyuñ Ki Ye Hazrie Quboor Dunya Se Be Ragbati or Aakhirat Ki Yaad Paida Karti He.
*📚(سنن ابن ماجہ، جلد01، صفحہ501، مطبوعه دار احياء الکتب العربیہ)*

Buzurgane Deen Ke Mazarat Par Ja Kar Isaale Sawab Karna or Unke Waseele Se Dua Mangna Aslaaf Ka Tareeqa Raha He or Vo Is Hazri Se Apni Deeni W Dunyavi Hajaat Ke Jald Bar Aane Ki Ummid Rakhte the,
Chunanche Shaikhul Islam Allama Ahmad Bin Muhammad Haytami Makki Shafai Rahimahullahi Ta'ala (Wisal 974 Hijri) Likhte Hai,
’’لم یزل العلماء  و ذوو الحاجات  یزورون قبرہ و یتوسلون عندہ  فی قضاء حوائجھم  ویرون نجح  ذالک  منھم الامام الشافعی  رحمہ اللہ لما کان ببغداد  فانہ جاء عنہ انہ قال انی لا تبرک بابی حنیفۃ  واجی الی قبرہ فاذا عرضت  لی حاجۃ صلیت رکعتین و جئت  الی قبرہ و سالت اللہ عندہ فتقضی سریعا‘‘
Tarjama: Hamesha Se Aulma or Hajat Mand Log Imame Aazam Rahematullah Alaihi Ke Mazar Ki Ziyarat Karte or Apni Haajteñ Pura Karne Ke Liye Aapka Waseela Pesh Karte Rahe Hai or Use Apne Liye Baaise Sharf Samajhte Hai, Unhiñ Aulma Me Se Imam Shafai Bhi Hai, Jinke Muta'alliq Ye Baat Marwi He Ki Aap Rahematullah Farmate Hai: Jab Me Bagdad Me Qayam Pazeer Tha, to Imame Aazam Rahematullah Alaihi Se Barkaat Ka Husool Karta Tha. Jab Mujhe Koi Hajat W Zaroorat Darpesh Hoti, to Me Imame Aazam Rahematullah Alaihi Ke Mazar Par Aata or Do Rak'ateñ Parhta, Phir Unke Qabr Mubarak Par Hazri Deta or Wahañ Allah Paak Se Dua Karta, to Fauran Meri Hajat Puri Ho Jati.
*📚(الخیرات الحسان فی مناقب الامام الاعظم ابی حنیفۃ النعمان،صفحہ94،مطبوعہ  دار الکتب العلمیہ، بیروت)*

Isi Ibarat Se Maloom Hua Ki Mazarat Ki Hazri or Husoole Barkaat Ka Nazariya Koi Jadeed Nahiñ, Balki 150 Hijri Me Paida Hone Wale Jaleelul Qadr Marja E Khalaaiq Hazrat Imam Shafai Rahimahullahi Ka Amal Mubarak Bhi Yahi Tha.

Ghar Par Bhi Fatiha Padh Sakte He Isme Bhi Koi Harj Nahiñ Isme Bhi Khairo Barkat He Lekin Mazar Par Jana Zyada Khairo Barkat or Jald Dua Qubool Hone Ka Zariya, Be Shumar Deeni W Dunyavi Fawaaid Hasil Karne Khuda Ki Khas Rahmatoñ Ko Hasil Karne Ka Zariya or Sukoone Qalbo Rooh Ka Zariya He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️19 Sep. 2024, 15 Rabi Ul Awwal 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts