Hair Rebounding, Smoothing Aur Permanent Straighting Karana Kesa ?

 *Hair Rebounding, Smoothing Aur Permanent Straighting Karana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Shara'a Mateen Is Mas'ala Me Ki,
Jo Parlour Par Hair Me Rebonding.. Smoothening or Permanent Hair Straightening Karwate Hai Jisme 1 Saal 2 Sal Tak Baal Straight Rhte Hai Ye Krwana Jaiz Hai Ke Nhi ?
Tafsili Jawab Inayat Farma Kar Rahenumai Farmayeñ Jazakallah Khair

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
Soorate Mas'oola Me Baaloñ Ko Sidha Ya Narm Rakhne Ke Liye Istemaal Hone Wale Siyaal Maada Me Agar Kisi Najis Cheez Ki Aamezish Na Ho or Na Hi Vo Koi Jarm Daar Ho Ki Uske Istemaal Se Baaloñ Par Parat (Cover) Charhta Ho to Baaloñ Par Mazkoora Kaam Karane Me Shar'an Kuchh Harj W Qabaahat Nahiñ.
"لان الاصل في الاشياء الاباحة حتى يدل الدليل على عدم الاباحة 
*📚(الاشباه مع الحموي، القاعدةالثالثة، ج:۱، ص:۲۰۹)*

Or Agar Us Chamical Me Kisi Najasat Ki Milawat Ho to Uski Ijazat Nahiñ Ki Usme Be Zaroorat W Haajat Jism Ko Najasat Se Aalooda Karna He, کما ھو بین or Ye Mamnoo'a W Gunah He Yuñ Hi Jabki Uske Istemaal Se Baaloñ Par Parat Charh Jaye Ki Vo Maane'a Gusl W Wuzu He.

Fatawa Aalamgiri Me He,
الخضاب اذا تجسد ويبس يمنع تمام الوضوء و الغسل كذا في السراج الوهاج ناقلا عن الوجيز 
*📚(كتاب الطهارة الباب الاول في الوضوء، ج:۱، ص:۵۴)*
Tarjama: Khizaab Jab Daldaar Ho or Sukh Jaye to Takmeele Wuzu W Gusl Ke Maane'a Hoga.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Katabahu: Muhammad Imtiyaz Ahmad Amjadi*
*📬Al-mukhtasas Fil Fiqh Al-hanfi Imam Ahmad Raza Learning and Research Centre, Nasik Maharashtra*
*🗓️8 Dec 2024, 5 Jumadi Ul Aakhir*
*✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*Abul Akhtar Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑Grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye to Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?* *🌹SAWAL:-🌹* Asalamualaikum, Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in...

Popular Posts