*Peshab Ke Qatroñ Ki Bimari Wale Shakhs Ke Liye Namaz W Paaki Ka Hukm Neez Qatre Ki Miqdar Naapne Ka Tareeqa Or Kapdoñ Ke Paak W Napaak Hone Ka Hukm*
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Mujhe Peshab Karne Ke Baad Qatre Aate Hai Kai Baar Chipchipe or Kai Baar Paani Ki Tarah Hote Hai, to Kitne Qatre Gire to Ek Dirham Se Kam Hoge ? Mujhe Zyada Se Zyada 4 Ya 5 Qatre Girte He Usse Zyada Nahiñ Girte.. Or Mene Ek Baar Sikka Me Check Bhi Kiya 10 Rupye Ka Sikka Aata He Usme Bhi Ek Chhota Sa Sikka Hota He Usme Paani Ke 5 Qatre Giraye to Us Sikke Se Thode Kam Ho Rahe the, or Agar Kabhi Ek Qatra Ya Do Qatra Gire to Us Par Tawajjoh Deni Chahiye Ya Nahiñ ? Ki Pahle Ek Do Qatre Gir Gaye Fir 5 Se 6 Ghante Baad Me Wapas Peshab Karne Jaau or Uske Upar Dusre Ek Do Qatre Gire to Kya Vo Kapde Napaak Ho Jayeñge Ya Paak Hi Rahege ?
Kai Baar Wazan Uthane Se Bhi Chipchipa Qatra Nikal Jata He Waise Aam Taur Par Peshab Karne Ke Baad Ek Do Ya 3 Se 4 Qatre Nikalte Hi He.. Is Takilf Ki Wajah Se Plastic Ki Theli Bandh Kar Me Namaz Padhne Jata Huñ, Sahi Se Ibadat Bhi Nahi Kar Pata, Me Sukoon Se Namaz W Ibadat Wagairah Kar Sakuñ Is Wajah Se Rahenumai Farmayeñ Ki Kitni Miqdar Me Tipe Gire to Vo Muaaf He He Or Paaki Ka Kya Hukm He, Rahenumai Farma Dijye Hazrat Jazakallah Khair
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Aadmi Ka Peshab Najasate Galeeza He, or Najasate Galeeza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye to Uska Paak Karna Farz He, Bagair Paak Kiye Namaz Padhli to Namaz Hogi Hi Nahiñ.. Or Qasdan Padh Li to Gunah Bhi Hua..
Or Agar Dirham Ke Barabar He to Paak Karna Wajib, Bagair Paak Kiye Namaz Padhi to Farz to Ada Ho Jayega Magar Aysi Namaz Wajibul Ae'aada Hogi, or Janbujh Kar Padhega to Gunahgar Bhi Hoga..
Or Agar Dirham Se Kam He to Faraaizo Wajibaat Ada Ho Gaye Albatta Sunnat Tarq Hui Ki Dirham Se Kam Najasate Galeeza Ko Paak Karna Sunnat Tha, to Agar Paak Nahiñ Kiya to Ae'aada Bahetar He, Albatta Farzo Wajib Ada Ho Gaye..
Or Chuñki Peshab Me Uski Lambaai Chorhai Dirham Ke Barabar Honi Chahiye, or Shariyate Mutahhara Me Peshab Ke Qatre Ki Koi Qaid Nahiñ Balki Dirham Ki Miqdar Yaani Lambaai Chorhai Shariyate Mutahhara Ne Is Tareeqe Se Bataai Ki Aadmi Apni Hateli Ko Barabar Khol Le, Sidhi Rakhe or Hatheli Pure Taur Par Kholne Ke Baad Hatheli Ke Bich Me Jo Jagah He Usme Dhire Se Thoda Paani Bhare to Jitni Miqdar Me Vo Paani Thahra Utni Hi Miqdar Ek Dirham Ki He, Isse Andaza Lagaye...
Raaij Sikkoñ Ke Zariye Se Uska Andaza Lagana Thoda Mushkil He, Wajah Uski Ye He Ki Pichhle Kai Saaloñ Se Rupye, Do Rupye or Das Ke Sikkoñ Me Kaafi Tabdili Din Ba Din Aati Rahti He, Kabhi Bade Kabhi Chhote Kabhi Mote to Kabhi Patle Nazar Aane Lagte Hai to Rupyoñ Se Andaza Kam Lagaye Apni Hatheli Ki Gehraai lambai chodaee Se Aap Andaza Lagayeñ Jitna Paani Usme Thahre Vo Ek Dirham or Jitni Lambaai Chorhai Ki Hatheli Ki Gehraai He Agar Usse Zyada Ho to Ek Dirham Se Zyada to Ye Andaza Bahetareen He, or Aapne Jo Das (10) Rupye Ke Sikke Ki Jo Miqdaar Bataai Vo Bhi Sahi He Vo Bhi Hatheli Ke Gehraai Ke Barabar He, Isse Bhi Aap Andaza Laga Sakte Hai Lekin Peshab Ke Qatre Jab Kapde Par Girte Hai to Vo Girne Ke Baad Fail Jaate Hai, to Uska Ye Failna Bhi Agar chhe Do Hi Qatre Gire Lekin Vo Fail Kar Ek Dirham Ki Miqdar Ke Barabar Hua Ya Zyada Hua to Fir Aysi Soorat Me Iska Bhi Wahi Hukm Hoga Jo Upar Bayan Hua...
*Mulakhkhsan: 📚Bahare Shariyat, H-2, Najasatoñ Ke Muta'alliq Ahkaam, Mas'ala-1,2)*
Jis Aadmi Ko Peshab Ke Qatre Tapakne Ki Bimari Ho or Usko Itna Mauqa Na Milta Ho Ki Vo Bawuzu Ho Kar Apni Namaz Puri Ada Karle or Is Darmiyan Peshab Ka Ek Bhi Qatra Tapke to Aysa Shakhs Ma'azoor Kahlata He Shariyate Mutahhara Ne Ma'azoor Ke Liye Kuchh Takhfeef Rakhi He... Ki Jo Shakhs Ma'azoor Ho Vo Namaz Ke Waqt Wuzu Karle or Wuzu Karne Ke Baad Bhi Agar Peshab Ka Qatra Tapakta He to Us Uzr Ki Wajah Se Uska Wuzu Nahiñ Jayega. Misaal Ke Taur Par Ek Aadmi Ko Har Waqt Peshab Ka Qatra Hi Tapakta Rahta He, or Usko 5 Minute Bhi Itna Nahiñ Milta Ki Vo Ba Wuzu Ho Kar Paaki Ke Sath Namaze Farz Ada Karle.. Jab Bhi Namaz Padhne Khada Hota He to Usko Peshab Ka Qatra Tapakne Hi Lagta He to Aysi Soorat Me Vo Taza Wuzu Banaye, Taza Wuzu Banane Ke Baad Namaz Padhe, Ab Agar Peshab Ka Qatra Aata Bhi He to Fir Usse Na Uska Wuzu Tutega or Na Uske Kapde Napaak Hoñge..
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Har Vo Shakhs Jisko Koi Aysi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Ma'azoor He or Uska Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle or Aakhri Waqt Tak Jitni Namazeñ Chahe Us Wuzu Se Parhe Us Bimari Se Uska Wuzu Nahiñ Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana, Ya Hawa Kharij Hona, Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Phore Ya Nasoor Se Har Waqt Ratoobat Bahna, Ya Kaan, Naaf, Pistan Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariyañ Wuzu Todne Waali Hai Unme Jab Pura Ek Waqt Aysa Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Parh Saka to Uzr Sabit Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Istehaza Ke Ahkaam, Mas'ala-4)*
Ma'azoor Ko Aysa Uzr He Jiske Sabab Kapde Najis Ho Jate Hai to Agar Ek Dirham Se Zyada Najis Ho Gaya or Janta He Ki Itna Mauqa'a He Ki Use Dho Kar Paak Kapdoñ Se Namaz Parh Luñga to Dho Kar Namaz Parhna Farz He or Agar Janta He Ki Namaz Parhte Parhte Phir Itna Hi Najis Ho Jayega to Dhona Zaroori Nahiñ Usi Se Parhe Agarche Musalla Bhi Aalooda Ho Jaye Kuchh Haraj Nahiñ or Agar Dirham Ke Barabar He to Pahli Soorat Me Dhona Wajib or Dirham Se Kam He to Sunnat or Dusri Soorat Me Mutlaqan Na Dhone Me Haraj Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Istehaza Ke Ahkaam, Mas'ala-15)*
Inhiñ Fiqhi Ibaratoñ Se Ye Wazeh Hua Ki Jisko Peshab Ke Qatre Tapakne Ka Uzr Ho, Har Waqt Namaz Padhne Ke Waqt Usko Qatre Tapakte Hoñ to Usko Plastic Ki Theli Bandhne Ki Zaroorat Nahiñ. Albatta Ye Kar Sakta He Ki Vo Andar Under Wear Ya Chaddi Pahne Taaki Agar Vo Masjid Me Jaaye to Peshab Ke Qatre Masjid Ke Farsh Par Na Gire, or Darmiyan Namaz Me Usko Agar Qatra Bhi Aata He to Uska Wuzu Nahiñ Tutega or Uski Namaz Bhi Ho Jayegi.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️2 Dec 2024, 29 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment