Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asalamualaikum,
Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in Me Se Kon Sa Naam Rakh Sakte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sirf Kabeer Naam Rakhna Bhi Jaaiz He, or Iske Sath ال (Aleef Laam) Mila Kar Bhi Rakhna Jaaiz He, Jese "Al-kabeer" 

Bahare Shariyat Me He,
Ba'az Asma E Ilaahi Jin Ka Itlaaq Gairullah Par Jaaiz He, Unke Sath Naam Rakhna Jaaiz He, Jaise Ali, Rasheed, Kabeer, Badee'a Kyuñ Ki Bandoñ Ke Naamoñ Me Vo Ma'ana Murad Nahiñ Hai Jinka Irada Allah Ta'ala Par Itlaaq Karne Me Hota He or in Naamoñ Me Aleef W Laam Mila Kar Bhi Rakhna Jaaiz He, Maslan Al-ali, Al-rasheed..
*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-602, Naam Rakhne Ka Bayan, Mas'ala-3)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️16 Dec 2024, 13 Jamadi Ul Aakhir 1446*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?*

 *Bachhe Ka Naam Kabir Rakhe, Ya Al-Kabir Ya Abdul Kabir?* *🌹SAWAL:-🌹* Asalamualaikum, Kise Bache Ke Naam Kabir/ Al Kabir/ Abdul Kabir, in...

Popular Posts