MUHARRAM ME NIYAZ OR USKA CHANDA KARNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*
 Imam-e-Husain or Shohda Karbala Ki Niyaz or Fateha ke Barey Mein Kya Kehna Hai ?

*🌹JAWAB:🌹*
Aala Hazrat Farmate Hain Niyaz or Fateha Jayez Hai Roti, Shirni, Sharbat Jis Chiz Par Ho. Lekin Taaziye Par Rakh Kar Ya Uskey Samney Hona Jahalat Hai. Or Usper Chadhane Ke Sabab Tabarruk Samajhna Himaqat Hai. Magar Taaziye Se Juda Khalis Sachhi Niyat Ho. Hazrat-e-Shohda Karbala Ki Niyaz Ho Wo Zaroor Tabarruk Hai. Wahabi Khabees Hai kyun Wo Is Niyaz Ko (mazallah) Khabees Kehta Hai.
 *📚(Fatawa Razwiyah, Vol. 24, Page. 524)*

*🌹SAWAL:-🌹*
Musalmano ka mahe muharram me pani, sharbat ki sabeel lagana kaisa bai ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Aala hazrat farmate he mah e muharram me jisne pani or sharbat ki sabeel lagaya(allah ki raza ke liye) bila shuba behtar or mustahib or kare sawab he.
*📚(Fatawa razviya,vol 24, page. 520)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~


*🌹SAWAL:-🌹*

Specially muharram ke julus ke liye maila lagaya  gaya ho usme rakhe gaye paani w sharbat me chanda kar sakte he ???

*🌹JAWAB:-🌹*

Paani ya sharbat har musalman ko pila sakte he or maila me sabeel na lagai jaae, na is wajah se ki sabeel ki mukhalefat he, balki maila me shirkat ki..
*📚(Fatawa razviya jild 24, safa-108)*
Or is me chanda bhi nahi karna chahiye.

Wallahu ta'ala a'alam

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬 khadim:-Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~*••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••*~

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts