Taweez Pahnna Quraan W Hadish ki roshni me


بسم الله الرحمن الرحيم

SAWAL:
Hazrat Tabeez pehanna kaisa hai?
Meharbaani karke Quran aur Hadees ki roshani mein jawab dijiye.
JAWAB
Ham log taweez o wazaaif men qurani aayat o durood shareef ahadees men waarid mamoolaat o uazaaif buzurgo se manqool a'amal padh kar dam karte hain ya inhin cheezo ko likh kar dete hain Aur wahabi gair muqallid wagairah inhin wazaaif o taweezaat ko jo quran hakeem o ahaadeese nabwiyya men warid hain ya buzurgon se manqool hain un wazaaif wagairah se banaaye huye taweezaat ko shirk kahte hain aur  bukhari shareef ki hadees shareef pesh karte hain  jis men  yahoodi se dam karane ka zikr hai
Sarkar aqdas صلی اللہ تعالی عليه وسلم kuffar o mushrikin yahoodi nasrani wagairah ke oh mantar jis men mazmeen kufiriyya hote us se mana farmaya yani un mantaro ke mazmeen men kabhi ye hota keh woh log apne maboodaan baatil se istimdad karte the yani madad mangte the maslan Aye laat meri pareeshani door kar de Aye uzza meri mushkil hall kar de (laat o uzza arab ke kafiro ke but the) ya koi hindustaani kafir is tarah kahe keh Aye raam meri madad karo aye seeta  mera kaam bana de. Zahir hai keh is tarah ki iabaraten kufriyya hain is liye keh  kuffar o mushrikin in buton ko apna khuda maan kar phir us se madad maangte hain aur be shak ye kufr hai
sarkar aqdas صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne kuffar o musrikeen aur unke maboodaane baatil buto  ki mazammat o buraai men jo kuchh farmaya unhen ye wahabiyya hamare khilaaf bataur daleel pesh kar ke ham par kufr o shirk ka hukm lagate hain
Agar taweez o wazaaif men qurani aayaat hon ya ahadees men manqool dua wagairah hon unhen padh kar dam karna ya unhen likh kar bataure taweez dena quran o hadees se saabit hai.
ALLAH Rabbul Aalameen Qurane Kareem Me Farmata Hai,
"Aur Ham Quran Utaarte Hai Wo Chiz Jo Imaanwalo Ke Liye Shifa Aur Rahmat Hai Aur Is Zaalimo Ko Nuqsan Hi Badhta Hai."
(Surah Bani Israel, Para 15, Ruku 9, Aayat 82, Tarzuma Kanzul Imaan)

ALLAH  تعالى  ne quran shareef naazil farmaya aur is men momineen ke liye shifa hai aur jo momin nahin un ke liye shifa nahin.
Is aayat se saaf zahir ho gaya keh kon momoin hai aur kon momin nahin
Jo momin hai oh qurani aayaat se shifa maanta hai. Aur jo momin nahin oh shifa se inkar karta hai.
Ab yahan se aap hazraat samjhen keh kon si jamat Raahe haq par gamzan hai aur kon si baatil par

IS SILSILE MEN KUCHH AHADEES BHI MULAHAZA KAREN
HADEES*
Hazrat UMME SALMA (Radhiyallahu ta’ala anhA) Se Riwayat hai ki Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi
wasallam) ne unke ghar me ek londi ko dekha jiska chehra zard tha. HUZOOR ne farmaya isey taveez karao isey NAZRE bad lagi hai
(MUSLIM, BUKHARI vol-2 page-854
MISHKAT page-388)

HADEES
Hazrat AYESHA (Radhiyallahu ta’ala anhA) se riwayat he ki Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi wasallam) ne hukm farmaya ke
Nazar bad ke liye Dua Taveez karaye
(MUSLIM,
BUKHARI vol-2 page-854 MISHKAT page-388)

HADEES*
Hazrat AOUF BIN MALIK ASHJAEE
(Radhiyallahu ta’ala anhU)
Ne farmaya ke hum log zamana-e-jahliyat me jhaad fhoonk karte the
ISLAM lane ke baad hum ne arz kia
YA RASOOL ALLAH in mantaron
ke bare me aap kya farmate hai
Rasool Allah (sallallahu ta’ala alaihi wasallam) ne farmaya apne mantar mujhe sunao un mantaron me koi harj nahi jabtak ke unme SHIRK na ho
(MUSLIM,vol-2 page-224 MISHKAT page-388)
HAZRAT SHEIKH ABDUL HAQ
Muhaddis Dahelvi Rehmatullah Aleh Is hadees ke tahet farmate
hai

“yani mantar me jinn va shayateen
Ke Naam na hon aur us mantar
Ke ma’ana se kufr Lazim na aata ho
To Uske padhne me koi harj Nahi Aur isiliye ulma-e-salf Ne Farmaya he jis mantar ka ma’ana Malum na ho usey nahi padh sakte Lekin Jo Huzoor Alaihissalam se sahih tour par Manqool Ho Usey padh sakte hain, Agar chey uska ma’ana Maloom na ho.
(Ash'atul lam'aat vol-3 page-604/anwarul hadees)

RAH GAYI BAAT TAWEEZ GALE MEN LATKANE KI TO YE BHI HADEES SHAREEF SE SAABIT HAI
HADEES
Hadees-E-Nabwi:
Sanad :

Imam Abu Dawood Rehmatullah Alaihi. — > Musa bin Ismail Rehmatullah Alaihi . — > Hammaad Rehmatullah Alaihi .  — > Muhammed Bin Ishaq Rehmatullah Alaihi .— > Amr Bin Shoeib Rehmatullah Alaihi . — > Apne Waalid Rehmatullah Alaihi . — > Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu. — Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam

Matan :
Hazrat Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu Bayaan Karte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya:

Jab Tum Me Se Koi Neend Me Dar Jaata  Ho, Toh Wo (Yeh) Kalimaat Kahe :
‎أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ غَضَبِهِ وَعِقَابِهِ وَشَرِّ عِبَادِهِ، وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ وَأَنْ  يَحْضُرُونِ

“AOOZU BI KALI MAATIL LAHIT TAMMATI MIN GHAZABI HI WA IQABIHI WA SHARRI IBADIHI WA HAMAZA TISH SHAYATEENUW WA AYIN YAHZUROON”.
Hazrat Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Apne Samajhdaar Bach-cho Ko Yeh Kalimaat Sikhaate The Aur Na-Samajh Bach-cho Ke Gale Me Yeh Kalimaat Likh-kar Latka Dete The.

(Sunane Abu Dawood, Jild 4, Safa 141, Hadees No 3893)

Wahabi log qurani aayaat wagairah ki taweez gale men latkane ko bhi shirk kahte hain to wahabiyon ke mazhab ke hisaab se woh sahabi mushrik huye keh nahi?
Ab yahan se samajh lijiye keh jis mazhab ke nazdeek sahabi tak mushrik ho jaayen woh aap ko kahan aur kis raaste par le jaana chaahte hai.
Jis mazhab men sahabae kiraam tak mushrik ho jaayen yaqeenan woh jahannam ka hi rasta hoga.

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا... For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)

~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts