KYA JANNAT OR JAHANNAM ME BHI JANWAR HOGE QURAAN W HADISH KI ROSHNI ME

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya jannat or Jahannam me bhi Janwar hoge ?
quraan w hadish ki roshni me..

*🌹JAWAB:-🌹*

👉(1) Parindah ke Jannat mein hone ki daleel:
Allah Taala ne Quran e Kareem mein farmaya:

وَلَحْمِ طَيْرٍ مِّمَّا يَشْتَهُونَ​

Tarjumah: Aur parindon ke gosht jo chahe..
*📚(Surah Al-Waqi’ah, Surah No: 56 Ayat No: 21)*

Sahih Muslim mein hai ke shaheedon ki roohein sabz rang ke parindon ke andar hain aur Jannat mein jis jagah chahein charti, chugti aur udti phirti hain:

أَرْوَاحُهُمْ فِي جَوْفِ طَيْرٍ خُضْرٍ، لَهَا قَنَادِيلُ مُعَلَّقَةٌ بِالْعَرْشِ، تَسْرَحُ مِنَ الْجَنَّةِ حَيْثُ شَاءَتْ، ثُمَّ تَأْوِي إِلَى تِلْكَ الْقَنَادِيلِ​

Tarjumah: Un (shaheedon) ki roohein (souls) sabz rang (green colour) ke parindon ke andar rehti hain, un ke liye qindeelein (chandeliers) hain jo arsh se latak rahi hain. Woh roohein Jannat mein se jahan se un ka jee chahta hai khati peeti hain phir un qindeelon (chandeliers) ki taraf laut aati hain.
*📚(Sahih Muslim: 1887)*

(2) Jannatiyon ki ghiza (khane) mein bail ka gosht:
Sahih Muslim ki lambi Hadees ka ek tukda hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

يُنْحَرُ لَهُمْ ثَوْرُ الْجَنَّةِ الَّذِي كَانَ يَأْكُلُ مِنْ أَطْرَافِهَا​

Tarjumah: Un ke (yani fuqara e muhajireen ke) liye Jannat mein bail zabah kiya jayega jo uske atraaf mein charta phirta hai.
*📚(Sahih Muslim: 315)*

(3) Jannat ki oontni:
Jannat mein oontni bhi hogi:

عَنْ أَبِي مَسْعُودٍ الأَنْصَارِيِّ، قَالَ جَاءَ رَجُلٌ بِنَاقَةٍ مَخْطُومَةٍ فَقَالَ هَذِهِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: لَكَ بِهَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ سَبْعُمِائَةِ نَاقِةٍ كُلُّهَا مَخْطُومَةٌ​

Tarjumah: Hazrat Abu Mas’ood Ansari Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke ek aadmi mahaar waali (lagaam waali) oontni le kar aaya aur kaha yeh Allah ki raah mein hain. To Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Is ke sabab tumhare liye Qayamat ke din isi tarah mahaar waali (lagaam waali) 700 oontni hongi.
*📚(Sahih Muslim: 1892)*

(4) Jannatiyon ki sawari surkh heeron waale ghode:

عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ رَجُلًا سَأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ خَيْلٍ قَالَ إِنْ اللَّهُ أَدْخَلَكَ الْجَنَّةَ فَلَا تَشَاءُ أَنْ تُحْمَلَ فِيهَا عَلَى فَرَسٍ مِنْ يَاقُوتَةٍ حَمْرَاءَ يَطِيرُ بِكَ فِي الْجَنَّةِ حَيْثُ شِئْتَ قَالَ وَسَأَلَهُ رَجُلٌ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ إِبِلٍ قَالَ فَلَمْ يَقُلْ لَهُ مِثْلَ مَا قَالَ لِصَاحِبِهِ قَالَ إِنْ يُدْخِلْكَ اللَّهُ الْجَنَّةَ يَكُنْ لَكَ فِيهَا مَا اشْتَهَتْ نَفْسُكَ وَلَذَّتْ عَيْنُكَ​

Tarjumah: Hazrat Sulaiman bin Buraidah Radhiallahu Anhu apne walid se bayan karte hain ke ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya ke kya jannat mein ghode honge? To Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to agar tum chahoge ke surkh heeron waale ghode par tumhein sawaar kiya jaaye aur woh jannat mein tumhein le kar jahan tum chaho ude to aisa zaroor hoga. Phir ek shakhs ne kaha: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya jannat mein oont bhi honge? To Aap ne usay is tarah jawab na diya jaise pehle shakhs ko diya tha. Taham Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to us mein tumhein woh sab kuch milega jis ki khwahish tumhara nafs karega aur jis se tumhari aankhon ko lazzat milegi.
*📚(Tirmizi: 2543)*

10 janwar jo Jannat me dakhil honge -
1. Huzur Sallallahu Alaihi wsallam ka Burak
2. Hazrat Saleh Alaihissalam ki Untni
3. Hazrat Ibrahim Alaihissalam ka Buchda
4. Hazrat Ismail Alaihissalam ka mendha
5. Hazrat Musa Alaihissalam ki gay
6. Hazrat Yunus Alaihissalam ki machli
7. Hazrat Uzair Alaihissalam ka khacchar
8. Hazrat Sulaiman Alaihissalam ki chinti
9. Bilkis ka hud-hud
10. Ashabe kahaf ka kutta
*📚(Al ishbah wannjair, hamvi sharah ishbah page 583)*

In janwaro ke alawa kuch aur janwar bhi
jannat me jayenge jaise mor, ghoda, aur
wah janwar jo dekhne me khubsurat hai
ya wah parinda jiski awaz sureeli aur acchi
hai ya wah janwar jinka gosht jannatiyo ko
pasand hoga, ahle jannatiyo ki giza ke lye jannat me jayenge.

*📚( Tafsir azizi para 30 page 63)*

👉kuch aise bhi janwar hoge jo
jahannum me jayenge jo muji janwar hai
jaise Saap, bicchu wagaira jahannum me
kafiro ko azab dene k lye jayenge, unko
khud koi taklif na hogi jis tarah azab ke
farishto ko koi taklif na hogi.

*📚( Al malfuz 4 page 80)*

Aur baki janwar mitti kar diye jayenge,
unko mitti hota dekhkar kafir kahenge ki
kash hm bhi unhi ki tarah mitti ho jate

*📚( Al malfuz 4 page 80)*
=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts