ISTEKHARA KE KITNE TARIKE HE OR SAB SE BAHETAR TARIKA KONSA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Istekhare ke kitne tarike he or sabse bahetar istekahar konsa he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sab se bahetar istekhara vahi he jo hadiso me warid hua or uski tarqib bahare shariyat me likhi hui he. Or istekhare ke or bhi tarike he jo majmuaa aamale raza wagairah me he.

http://jamiaturraza.com/session/8Jul12/33.mp3
*_🎙Al-Jawab:- Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma_*


➡Hadise sahih jisko muslim ke siva jama'ate muhaddiseen ne jabir ibne abdullah radiAllahu ta'ala anhuma se riwayat kiya farmate he ki rasoolAllah sallallahu alaihi w sallam ham ko tamam umoor(kaamo) me istikhara ki ta'alim farmate jese qura'an ki soorat ta'aleem farmate the. Farmate he jab koi kisi amr(kaam) ka irada kare to 2 raka'at nafl padhe. Fir kahe..

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ العَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ، وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ، وَأَنْتَ عَلَّامُ الغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي، ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الخَيْرَ حَيْثُ كَانَ، ثُمَّ أَرْضِنِي”.
*📚(BUKHARI SHAREEF, Hadish-6282)*

*_➡Urdu translation_*⬅
Ai allah! Me tuj se istikhara karta hu tere ilm ke sath or teri qudrat ke sath talabe qudrat karta hu or tuj se tere fazle azeem ka sawal karta hu is liye ki tu qadir he or me qadir nahi or tu janta he or me nahi janta or tu gaibo ka jaanne wala he. Ay allah! Agar tere ilm me yah he ki yah kaam mere liye bahetar he mere din w maishat(zindagi) or anjamkaar(natija) me ya farmaya is waqt or aainda me to isko mere liye muqaddar karde or aasan kar fir usme barkat de mere liye or agar tere ilm me yah kaam mere liye bura he din w maishat or anjamkaar me ya farmaya is waqt or aainda me to isko muj se fer de or muj ko isse fer or mere liye khair ko mukarrar farma jahañ bhi ho fir muje us se razi kar.

Or apni hajat zikr karke khwah bajae ھذ الامر  Ke hajat ka naam le ya iske baad او قال عاجل امریمیںاو shaqe rawi he, fuqha farmate he ki jama'a kare yaani yu kahe.
 وعاقبۃ امری وعاجل امری واجلہ.

Mustahab he ki duaa ke awwal aakhir sura e fatiha or durood shareef padhe or pahli  raka'at me قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ or dusri me قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ padhe ba'az mashaikh farmate he ki pahli me وربک یخلق ما یشآء ویختار Se یعلنون tak or dusri me
وما کان لمؤمن ولا مؤمنۃ
('Muaminatin' se aakhir aayat tak bhi padhe)

Bahetar yah he ki 7 baar istekhara kare. Ki ek hadish me he ay anas jab tu kisi kaam ka kasd kare to apne rab se isme 7 baar istikhara kar fir nazar kar ki tere dil me kya guzra ki beshak isi me khair he or baaz mashaikh se manqul he ki uper wali duaa padh kar ba-taharat qibla-roo-yaani paki ke sath qible ki taraf rookh karke so rahe agar khwab me safed ya hari chiz dekhe to vah kaam bahetar he or kaali w laal chiz dekhe to bura he us se bache. Istikhara ka waqt us waqt tak he ki ek taraf raay poori na jam chuki ho.
*BA-HAWALA:- 📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, ISTEKHARA KI NAMAZ)*

*_⬇Kuchh istekhara ke tarike⏬_*

Ye amal majmuaa shareef me sharah shariyatil islam se maqool he. Ba'az mashaikhe kiram rahimullahile ta'ala se marvi he ki jis shakhs ko koi hajat pesh ho vo sone ke waqt wuzu'a kare fir paak bistar par beth kar 3 baar durood shareef padhe, fir sura e fatiha 10 martaba. Sura e ikhlas 10 martaba fir durood shareef 3 baar padhe fir dahini karwat par qibla roo so jae or dahini kohni  rukhsar ke niche rakhe to use khwab me wahama ka haal ma'aloom hoga or us se khulasi ki soorat bhi zahir hogi. Or bahut se mashaikh ne tajarba kiya he or Aala Hazrat quddasirahu farmate he ki mene bhi iska tajarba kiya to mujrab paya.

➡Sone ke waqt wuzu kar ke paak bistar par beth kar soorae ikhlas, sura e shams, sura e wallail, sura e wattin, saat saat baar padhe saat raat tak aysa hi kare inshaAllah ta'ala vo hajat poori hogi ya pahli dusri tisri raat me us kaam ki tadbeer ma'aloom hogi.

➡Apne haal ko daryaft karne ke liye is duaa ko apne dahine hath par likh kar sar ke niche hath rakh kar so jaae khwab me apna haal mulaheza karega.
*بسم اللہ الرحمٰن الرحیم*
*مسبعهعها جمة یا حی یا قیوم نمنجشيا و نمنشيا و سخيشا اللهم مغفرتك او سع من ذنوبی و رحمتک ارجی عندی من عملی و صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم*.

➡Wuzu kare or paak libas pahne or dahini karwat par qibla roo let kar sura e washshams 7 martaba or sura e wallail 7 martaba sura e watteen 7 martaba  sura e ikhlas 7 martaba or ba'az riwayat me bajae 7 ke 3 baar he fir ye padhe..
*اللهم ارني فی منامی کذا وجعل لی من امری شرجاً و مخرجاً وارنی فی منامی ما اتوسّلُ بہ علیٰ اجابتہ دعوتی*
Saat raat ke andar anjam zahir ho jaega.

*📚(MAJMUAA AA'AMALE RAZA, J-2, S-21,22)*

*_✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts