NAFL PADHNE WALE KE PICHHE FARZ KI NAMAZ YA IMAM KA ASAR KI NAMAZ DOBARA PADHANA

*🌹SAWAL:-🌹*
Imam Sahab Ne Asar Ki Namaz Pahle Padh Li Kyoki Kisi Wajah Se Muqtadi Jamat K Waqt Par Nahi Pahuch Paye The

Lekin Imam Sahab Ne 4 Rakat Namaz Farz Asar Ki Padh Li Fir Kuch Muqtadi Aaye To Ab Imam Sahab Ne Muqatadiyo Ko Asar Ki Namaz Jamat Ke Sath Padha Di Jabki Unhone Unki Namaz Padh Li Thi To Imam Sahab Ne Ab Jo Namaz Padhi Nafl Hui

Aur Muqtadiyo Ne Farz Ki Niyat Ki

Kya Muqtadiyo Ki Namaz Ho Jayegi Ya Nahi Aur Padh Li To Kya Huqm Hai
Kya Koi Imam Sahab Agar Pahle Apni Namaz Padh Le Aur Koi Baad Mai Aaye To Kya Wo Unhe Jamat K Sath Namaz Padha Sakte Hai Ya Nahi
Hazrat Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Imam sahab ka asar tanha padh lene ki wajah se jama'at padhaana jaiz nahi kyu ki asar ba'ad koi nafl namaz nahi he. Jisme farz ke baad nafl ki salahiyat he vaha unhe dobara namazo me shareek hone ki ijazat he or yaha ma'adoom he.

Asar ki namaz ke baad nafl namaz padhna mana he.
*📚DURRE MUKHTAR, 📚AALAMGIRI*
*BA-HAWALA:- 📚(MOMIN KI NAMAZ, S-186)*

Yahi soorat agar zuhar me hoti jab bhi muqtadiyo ki namaz nahi hoti kyuki muntafil muftariz ki iqteda kar sakta he magar muftariz muntafil ki iqteda nahi kar sakta.
Yaani nafl padhne wala farz padhne wale ki iqteda kar sakta he magar farz padhne wala nafl padhne wala ki iqteda nahi kar sakta.

Farz namaz nafl padhne wale ke pichhe  nahi ho sakti.
*📚AL-HIDAYA, 📚FATAWA SHAAMI, 📚FATAWA HINDIYA*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3, S-572)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts