*🌹SAWAL:-🌹*
Merry Christmas Ya Happy Christmas Kahna Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
_Merry Christmas Ya Happy Christmas Kahna Sirf Najaaizo Haram W Gunah Hi Nahi Balki Kufr Ka Kaam He._
Merry Christmas Ka Ma'ana Hota He 'Allah Ka Beta Hua He Mubarak Ho' (Ma'azAllahi Rabbil Aalameen).
Is Tarah Ka Aqida Rakhna Quraane Karim Ke Khilaf He. Or Kufr He. Jo Bhi Esa Aqida Rakhe Vo Kharije Islam He. Uspe Taubah Tajdeede Iman W Tajdeede Nikah Lazim He.
_Jaisa Ki Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_
Gair Muslim Ke Tahewar Christmas, Holi, Diwali Wagairah Ko Achcha Samajna, Us Ki Ta'azeem Me Mubarak Baad Dena Kufr He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-14, S-683)*
Jis Tarah Ham Musalman 12 Rabi-un-noor Shareef Ko Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ka Milad Manate He Ki Aap Dunya Me Tashreef Laye. Is Aqide Se Nasarani Log Hazrate Isa Ka Milad Nahi Manate Balki Unke Nazdik Hazrate Isa Alaihis Salam Jo Bin Baap Ke Paida Hue Goya Unka Baap Khuda Ta'ala He, Or Vo Khud Bhi Khuda He, Or Unki Maa Bhi Khuda He. Yani Vo Log 3 Khudao Ke Qaail He. Kisi Bhi Musalman Ka Chrischanns Ko Happy Christmas Ya Marry Christmas Kahna Ya Christmas Ki Mubarak Baad Dena Ye Sirf Najaaizo Haram,gunah Hi Nahi Balki Kufr He.
Kyu Ki Ye Islami Aqide Ke Sarasar Khilaf He Ki Allah Ta'ala Ka Koi Beta Bhi He.
Qura'ane Kareem Me Jagah Jagah Is Ki Nafee Ki Gai He. Allah Ta'ala Ki Ye Shan Nahi He Ki Vo Kisi Ko Jane Ya Kisi Ki Ye Shan Nahi Ki Vo Allah Ta'ala Ko Paida Kare. Allah Ta'ala In Tamam Baato Se Paak He.
Jesa Ki Qura'ane Kareen Ki Mash'hoor Sura'h Me He,
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
*Tarjama:-* Tum Farmao Vo Allah He Vo Ek He, Allah Be-Niyaz He, Na Uski Koi Aulad Na Vo Kisi Se Paida Huaa, Or Na Uske Jorh Ka Koi.
*📚(QURA'ANE KAREEM, SURAH IKHLAS)*
Beshak Hazrat Isa Alaihis Salam Bagair Baap Ke Paida Kiye Gaye. Lekin Hame Qura'an Ne Jo Bataya Vo Ye He Ki Unki Maa Purab Ke Ek Ilake Ki Taraf Chali Gai
Vo Baytul Maqdas Ki Khadema Thi Or Apne Khalu Hazrate Zakarya Ke Sath Vo Baytul Maqdas Ki Khidmat Kiya Karti Thi Hazrate Jibarail Alaihis Salam Tashreef Laye Or Unse Farmaya,
Bola Me Tere Rab Ka Farishta Hu Ki Me Tuje Ek Sutra Beta Du Us Par Hazrate Maryam Ne Arz Ki Ke Muje Kisi Bashar Ne Hath Nahi Lagaya Kisi Aadmi Ne Hath Nahi Lagaya Mera Beta Kaha Se Hoga ? Hazrate Jibarail Ne Farmaya Allah Ta'ala Ki Ye Shaan He Ki Vo Bagair Mard Ke Hath Lagaye Bhi Aurat Ko Aulad Ata Farma De.
*📚(Makhuz SURA E MARYAM)*
Isaiyo Ka Ye Kahna Ki Vo Bagair Baap Ke Paida Hue Lihaza Esa Ajuba Dunya Me Kabhi Nahi Hua, Or Ho Gaya To Vo Khuda Ke Bete He, Quraane Kareem Me Is Qism Ke Aqide Ki Tardeed Ki He,
_Allah Ta'ala Quraan Me Farmata He,_
إِنَّ مَثَلَ عِيسَىٰ عِندَ اللَّهِ كَمَثَلِ آدَمَ ۖ خَلَقَهُ مِن تُرَابٍ ثُمَّ قَالَ لَهُ كُن فَيَكُونُ
Tarjama:- Isa Ki Kahawat Allah Ke Nazdik Aadam Ki Tarah He Use Mitti Se Banaya Fir Farmaya Ho Ja To Fauran Ho Jata He.
*📚(SURA E AALE IMRAN, A-59)*
Yaani Hazrat Isa Alaihis Salam Bagair Baap Ke Paida Hue Is Liye Vo Khuda He To Hazrate Aadam Ke To Na Maa He Na Baap He. Bagair Maa Baap Ke Paida Hue To Unhe To Badarje Isa Khuda Ka Beta Hona Chahiye Lekin Nahi Allah Ne Unhe Mitti Se Banaya He.
_Isaiyo Ke Is Aqide Ki Tardeed Karte Hue Quraane Kareem Me Ek Or Jagah Allah Ta'ala Farmata He,_
مَا كَانَ لِلَّهِ أَن يَتَّخِذَ مِن وَلَدٍ ۖ سُبْحَانَهُ ۚ إِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُن فَيَكُونُ
Tarjama:- Allah Ko Laiq Nahi Ki Kisi Ko Apna Bachcha Thehraye Paaki He Usko Jab Kisi Kaam Ka Hukm Farmata He Ho Jaao To Fauran Ho Jata He.
*📚(SURA E MARYAM, A-35)*
To Isaio Ka Ye Kahna Ki Allah Ta'ala Ke Vo Bete He Kufriya W Shirkiya Aqida He Lihaza Musalmano Ko Is Qism Ke Aqide Se Sakht Parhez Karna Chahiye Or Is Qism Ke Tahevar Par Kuffaro Mushrikeen Ko Mubarak Baad Dena Haram Sakht Haram Balki Kufr Ka Kaam He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲
23 Dec 2018
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========
No comments:
Post a Comment