Tujh Se Kutte Hazaar Firte He, Aala Hazrat Sher Ki Tashreeh

*🌹SAWAL:-🌹*
Aala hazrat ka ek kalam hai jisme khte hai ki,
koi kyu pooche teri baat Raza tujhse kutte hazar phirte hai isme kutte hai ya kitte wazahat farmae. Or Isme Kutte Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye Vahi Kalam He Jo Sarkar Aala Hazrat Ne Sarkare Do Jahañ Huzur ﷺ Ki Ziyarate Jamal Se Sarfarz Hone Ki Ummid Se Likha Tha Or Iske Baad Aap Ko Halate Bedari Me Aaqa e Kaunain Huzur ﷺ Ka Didar Nasib Hua.  Ye Aaqa e Kaunain ﷺ Ki Taraf se Vo Aezaz He Jo Bade Naaz Ke Paaloñ Ko Hi Mayassar Aata He.

Koi Kyuñ Puchhe Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Firte He

Jis Ki Sharah Farmate Huye Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Aala Hazrat Alaihir Rahma Ne Khud Ko Or Apne Jaise Dusre Ushshaqe Rasool ﷺ Ko Kutta Kaha He.

Ye Sahih Or Haq He Faqeer Ne(Allama Faiz Ahmad Owaisi Ne) Isi Sharah Me Is Par Taweel Bahas Likhi He Lekin Aashiqane Raza Yahañ Jhijhakte He, Ba'az To "Shayda Hazar Firte He" Se Tabdil Karke Parhte He Ye Namunasib He Is Liye Ki Aashiq Usi Lafz Se Zyada Khush Hota He Jo Vo Apne Mahboob Ke Liye Khud Intekhab Kare Saiyedna Ali Ul Murtuza RadiAllahu Anhu Ko Abu Turab Se Masarrat Hoti Na Ki Abul Hasan Se.

Isi Liye Mera Khayal He Ki Lafz Ko Jooñ Ka Tooñ Rahne Dijye Ayse Hi Khwaja Saiyed Maher Ali Shah Rahematullah Alaihi Ka She'ar  "Gustakh Akhkhiyañ Kiththe Ja Laryañ" Wahañ Bhi Ba'az Log "Mushtaq Akhiyañ" Parhte He Me Ye Samajta Huñ Ke Is Tabdili Se un Aashiqon Ki Rooh Raazi Nahi Hogi.

Or Farmate He,

Ek Sahab Ne Farmaya Ki Yahañ Kitte Bakasra Kaaf Hoga. Is liye ki Kitte Ba Ma'ana Kitne. Mene Kaha Aap Ki Ta'abeer BaSaro Chashm Lekin Mera Imam Ahmad Raza Is Ta'abeer Se Khush Na Hoga.
*📚Makhuz: (Sharah Hadaiqe Bakhshish, J-4, S-338)*

Imame Ishqo Muhabbat Sarkar Aala Hazrat Sarkare Mustafa Sarware Qainat Huzur ﷺ Ki Bargah Ka Apne Aap Ko "Kutta" Kahlane Me Koi Aar Nahi Balki Fakhr Mahsoos Farmate He.

Sakrar Aala Hazrat Hi Kya ! Har Aahiqe Rasool Ka Yahi Tariqa Raha He Ki Vo Madina Munawwara Ke Ba Kamal Kutto Ka Bhi Adab Or Unse Pyar Rakhte He.

Or Yahi Ek Aashiqe Sadiq Ki Alamat He.

Jaisa Ke Hazrat Hafiz Sheerazi Alaihir Rahma Huzur ﷺ Ke Sagaan Kuye (Gali Ke Kutto) Ka izhare Aarzoo Is Tarah Karte He,

شنیدہ ام کہ سگانرا قلادہ می بندید,
چرا بگردن قاضی حافظ نیگفتی رسنے.
Tarjama: Mene Suna he Ki Kutto Ke Gale Me Pata Dalte He, Fir Ay Yaaro ! Hafiz Ki Gardan Me Rassi Kyuñ Nahi Bandhte ?

Hazrat Shaikh Sa'adi Alaihir Rahma Bargahe Risalate Ma'aab ﷺ Me Yuñ Arz Karte He:

چہ کند سعدی مسکین کہ صد جان،
سازیم فدائے سگ دربان محمدﷺ۔
Tarjama: Sa'adi (RadiAllahu Anhu) Ki Ek Jaan Kya Hen? So Jaan Ho To Huzur ﷺ Ke Darban Ke Kutto Par Waar Duñ.

Hazrat Nooruddin Allama Abdur Rahman Aarif Jaami Rahmatullah Alaihi Jo Darsi Kitab "Sharah Jaami" Ke Alawa Besoñ Kitabo Ke Musannif He Farmate He:

سگ تو دوش بجامی فغاں کناں می گفت,
خموش باش کہ از نالئہ است بدردسریم.
Tarjama: Ay Mahboobe Madina  ﷺ Guzishta Shab Ko Jaami Aap Ke Huzur Me Aañh W Fagaañ Kar Raha Tha Ki Aap Ke Dare Aqdas Ka Kutta Kahta Tha Ki Khamosh Ho Jaao, Is Liye Ke Tere Shoro Fagañ Or Aanh w Naala Se Mere Sar Me Dard Hota He.

She'ar Ki Zara Nazakat To Dekhiye ! ki Aashiq Kahta He Ki Jab Me Apni Dard Bhari Faryad Apne Mahboobe Kareem  ﷺ Ke Huzur Pesh Karta Huñ To Aao Ke Darwaze Ke Kutte Ayse Nazuk Mizaj He Ki Vo Meri Aah Ko Sun Kar Mujh Se Farmate He Ki Jaami ! Khamosh Rah ! Teri Aah W Faryad Se Hamare Aaram Me Khalal Waqe'a Hota He.

Or Arz Karte He Ki Ya RasoolAllah ﷺ,

می کیستم دمےدوستی زنم,
کمین سگان کوئے تو یک کمترین منم.
Tarjama: Me Kon Huñ ? Jo Aap Se Dosti Ka Dam Bharuñ ! Me Aap Ke Darwaza Ke Kuttoñ Me Se Ek Adna Sag Huñ.

Or Arz Karte He,

سگت را کاش جامی نام بودے,
کہ گاہے بر زبانت رفتہ بود  ے.
Tarjama: Kash !! Aap Ke Kutte Ka Naam Jaami Hota !! Kabhi To Ye Naam Aap Ki Zubane Mubarak Par Jaari Ho Jata ..

Ab Ham Haq BaJanib He Ki Mere Imam Ne Bhi Vo Kiya Or Kaha Jo Aslaf Saliheen Alaihir Rahma Ne Kaha Or Kiya. Sarkar Aala Hazrat Ne Darjano Maqamat Par Apne Aap Ke Liye 'Sag' Jese Alfaz Istemal Kiye He.

Ahle Sunnat Buzurgo Ki Taraf Apne Aap Ko Sag (kutte) Ki Nisbat Kyoñ Karte ?

Iske Chand Wajoohat He. In me se Mukhtasar Naql Karta Huñ..

Allama Kamaluddin Muhammad Bin Moosa Al-dameeri (808Hijri) Rahmatullah Alaihi Farmate He,
"الکلب حیوان شدید الریاضتہ کثیر الوفاء"
Yaani Kalb(Kutta) Ek Haywan He Jo Riyazat Basyaat Ki Aadat Ke Alawa Wafa Ka Mujassama He.
*📚(Hayatul Haywan, J-2, S-225, W 📚Ajaibul Makhlooqat)*

Chuñki Ham Ahle Sunnat Buzurgo ke Aadabo Muhabbat W Ulfat Me Bade Mohtat He Or Fie Unse Wafadari Ka Kya Kahna !!! ki Jaan Jaye To Jaaye Magar Unki Aan Me Aanch Na Aaye.

Chunanche Allama Mausuf Iskw Aage Farmate He:
Malik Ko Khush Karne Or Us Ke Har Muaamla Me Raza Mandi pe Usse Muhabbat W Ulfat Par Aysa Khush W Khurram He Ki Us se Sakht Pitai Ke Bawajood Jab Use Malik Bulaye To Malik Ke Qadmo Par Gir Jata He. Or Uske Qadam Chumne Lagta He. Or Us Chumne Ko Baaise Fakhr Samajta He. Agar Malik Use Apne Dar Se Laakh baar Hataye To Bhi Uska Dar Chhodna Gawara Nahi Karta. Sunni Allah Walo Se Muhabbat Karta He. Or Unka Adab Karta He. Ye Ajaaibe Aalam Me Se He Ki 'Kutta Agarche Ajnabi Logo Ka Dushman He Lekin Wali ullah Ka Muhib Or Aashiq He. Isi wajah se As'haabe kahaf ka kutta Awliya Allah Ki Muhabbat Or Sohbat Se Kya se Kya Ho Gaya. Ki Uske Bethne Ka Andaz Allah ﷻ Ne Qura'ane Paak Me Bayan Farmaya, Auliya Allah Ki Aqidat W Muhabbat Adab Karne Ki Wajah Se Vo Bhi Allah ﷻ Ka Pyara Ho Gaya, Aysa Pyara Ke Uske Bethne Ka Andaz Bhi Allah Ta'ala Ko Pyara Ho Gaya.

Al-Garz Ye Sher Padhne Me Koi Harj Nahi Or Jis Tarah Se He Usi Tarah Padha Jaaye. Usme Kitte Ya Shaida nahi He Asl Me Kutte He..

Koi Kyuñ Puchhe Teri Baat Raza,
Tujhse Kutte Hazaar Firte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts