Kya Kisi Par Koi Wali Ki Haajri Aati he

*🌹SAWAL:-🌹*
Aaj kal kuch logon ko dekha gaya hai ki fala shkas par wali fala wali ki haazri aati hai
To inki haqiqat kya hai Yeh Aap hame Quraan aur hadees Sharif ki raushni me samjhaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Iski Koi Haqiqat Nahi Ki Kisi Wali Ki Hazri Kisi Bhi Shakhs Par Aa Jaye. Jin W Shaytan Aa Sakte He. auliya Allah Ko Allah Ta'ala Ne Agarche Ikhtiyarat w Tasarrufat Zaroor Ata Farmaya He Magar Vo Kisi Insan Ke Badan Me Dakhil Nahi Hote, Kisi Ke Upar Sawar Nahi Hote.

_Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Se Aurto Par kisi wali Ki Sawari Aane Ke Ta'alluk Se Puchha Gaya Aap Farmate He_

Ye Us Aurat Ka Makr He Or Peshaawar Peero Or Aamilo Ka Dhakosla He, Koi Allah Ka Wali Kisi Aurat Par Kabhi Nahi Aa Sakta. Haañ Jin Or Hamzaad Ye Kisi Mard Ya Aurat Ko Khabtul Hawaas Karke Usse Jo Chahe Karale.

Ye Qura'an Majeed Se Sabit He,
يَتَخَبَّطُهُ الشَّيْطَانُ مِنَ الْمَسِّ.
Yaani Jise Aaseb Ne Chhu Kar Makhboot Bana Diya Ho.
*📚(Sura E Baqrah, Aayat-275)*

Awam Me Aam Taur Par Mash'hoor He Ki Khabees Roohe Aasebzada Par Aati He Ye Sahih Nahi. Khabees Roohe Muqeed Rahti He Vo Na Kahiñ Ja Sakti He Na Aa Sakti He. Kuffaro Ashrar Ke Hamzad Aazad Hote He, Vo Aasebzada Par Aate He Or Batate He Ki Me Falañ Hu.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-304, 305)*

_Or Isi Tarah Fatawa Markazi Tarbiyat Ifta Me He,_

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,

Jin W Shayateen Ba'az Waqt Aadmi Par Dakhl Karte He Kabhi Behosh Kar Dete He Or Kabhi Uski Zaban Se Bolte He Or Tarah Tarah Ki Harkate Karte He.
*📚(Fatawa Razviya, J-11, S-19)*

Lihaza Ayse Shakhs Par Jis Par Jin Ya Shaytan Sawar Huva Ho, Usse Dua, Ta'aweez Karana, Use Rupya Paise Tahaaif Me Pesh Karna, Uski Baato Ko Sach Manna, Us Par Amal Karna, Najaizo Haram W Gunah He.

Or Agar Uske Kahne Par Koi Shirkiya Kaam Kiya, To Ye Kufro Shirk He. Aysa Karne Walo Par Aelaniya Taubah W Astagfaar w Tajdide Iman Lazim He, Or Agar Biwi Wale Ho, To Tajdide Nikah Bhi Zaroori He.

Beshak Ambiya Auliya Tasarruf Kar Sakte He, Or Karte Bhi He.. Lekin Ye Unki Shan Nahi Ki Vo Kisi Insan Ke Andar Hulool W Sarayat Kare Or Use Makhbootul Hawaas Banaye, Vo Aysa Hargiz Nahi Karte.

Lihaza Ambiya, Auliya Ka Naam Batane, Ya Koi Aayat W Hadees Sunane Ki Buniyad Par Us Ka Adab W Ahetaram Karna Hargiz Jaiz Nahi, ki Jin W Shayateen Bahut Makkar Hote He.
*📚(FATAWA MARKAZI TARBIYAT IFTA, J-2, S-392)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts