Farz Tanha Padh Kar Jama'at Me Shamil Ho Sakta He Ya Nahi ? Magrib Ki Namaz Ka hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Jisne Farz Namaz Akele Padhli  Ba'ad Me Jama'at Qaaim Hui To Vo Jama'at Me Shamil Ho Sakta He. Arz Ye He Ki Uski Pahli Namaz Nafl Hogi Ya Jama'at Wali ? Neez Agar Jama'at Wali Nafl He To Magrib Me Aysa Kar Sakta He Ya Nahi Kyu Ki Nafl Shaf'a Hoti He Witr Nahi.

*🌹JAWAB:-🌹*
Siwaye Magrib, Asr Or Fajr Ke Farz Namaz Akele Padh Kar Fir Dubara Jama'at Qaaim Ho To Vo Usme Nafl Ki Niyat Karke Shamil Ho Sakta He.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat رضی اللہ تعالی Se Is Ta'alluk Se Ek Sawal Huva, Aap Ne Irshad Farmaya,

Nafl Ki Niyat Chahiye,
 فان الفریضۃ فی الوقت لاتکرر،
(Kyu Ki Waqti Fariza Me Takraar Nahi)

Or Hadis Shareef Me He,
لایصلی بعد صلٰوۃ مثلھا.
(Yaane Namaz Ki Misl Namaz Ke Baad Ada Na Ki Jaye)

Or Agar Farz Ki Niyat Karega Jab Bhi Nafl Hi Hoge
فان الفریضۃ فی الوقت لاتکرر
(Kyu Ki Fariza Ek Waqt Me Mutakarrir Nahi Huva Karta.)
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-452)*

Uske Alawa *Bahare Shariyat* Me Huzur Sadrush Shariya علیہ الرحمہ Ne Ek Baab Bandha He *Munfarid Ka Farzo Ki Jama'at Paana*, Isme Bhi Huzur Sadrush Shariyah Ne Farmaya Jiska Khulasa Ye He Ki Fajr, Asr Or Magrib In tino Ko Akele Padhne Ke Baad Yaa Fir Jama'at Ke Sath Padhne Ke baad Dubara Jama'at Me Sharik Nahi Ho Sakta. Fajr Or Asr Me Is Wajah Se Ki Fajr Or Asr Ki Farz Padhne Ke Baad Chahe Vo Jama'at Ke Sath Ho Ya Akele Ho, Uske Baad Koi Nafl Nahi He. Or Magrib Me Is Wajah Se Ki Ye 3 Raka'at Hogi, Or 3 Raka'at Ye Shariyate Islamiya Me Nafl Ke Taur Par Mashroo Nahi He, Fir Bhi Agar Kisi Ne Nafl Ki Niyat Se Padh Li Or Ek Raka'at Or Milai To Usne Bura Kiya. Imam Ke Sath Shamil Ho Gaya To Ye Bura Kiya Imam Ke Salam Ferne Ke Baad Ek Raka'at Or Milale, Or 4 Puri Karle. Magar Aysa Nahi Karna Chahiye.

Uske Alawa Mishkat Shareef Me Sahibe Mishkat Ne Ek Baab Bandha He *📚Baabu Man Sallah Salatan Marratain, Safa-103* me Bahut Sari Ahadise Nabviya Is Ta'alluk Se Warid Hui Ki

 Hazrate Jabir Or Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ تعالی عنہم  in  Tamam Hazraat Ka Qaul Yahi He Ki Isha Or Zuhar Ki Jama'at me shamil Ho Sakta He, Nafl Ki Niyat Se Padh Sakta He Or Ahadise Nabviya Me Ye Saaf Saaf Irshad Huaa Ki Ye uske Nafl Hoge Farz Nahi Hoge.

Uske Alawa Ek Waazeh Qaul Hazrate Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhu Ka He,
عبد اللہ بن عمر کان یقول من صلی المغرب اوالصبح ثم ادرکھما مع الامام فلی یعدلهما
Unhone Irshad Farmaya
Jisne Magrib Or Fajr Ki Namaz Padhli Fir Usne Imam Ke Sath Paya To Uske Liye Jaiz Nahi He Ki Usko Dohraye.

Algarz Mas'ala Waazeh He Ki Zuhar Or Isha Ki Farz Tanha padh Chuka Ho Ya Jama'at Ke Sath Padh chuka ho to Dubara Usko Jama'at ke Sath Nafl Ki Niyat Karke Padh Sakta He, Fajar, Asar, Or Magrib Ki Namaz Dubara Nahi Padhega, Agarche Nafl Ki Niyyat Se Ho.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts