Gair Muslim Melo Me Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Hindu Ke Melo Me Jana Kesa  Or Jo Shakhs Mela Me Gaya Ho Uspe Shariyat Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hadis Shareef Me He,
من کثر سواد قوم فھو منھم ....او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
Dusri Hadis Me He,
من جامع المشرک و سکن معه فانه مثله  ....او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم

Or Aulma e Kiram Farmate He Ki Musalman Ko Chahiye Ki Majma e Kuffar Se Ho Kar Na Guzre  Ki Un Par La'anat Utarti He Or Sab Par Zahir He Ki Unka Mela Sad'ha Kufr ke Ash'aar Or Shirk Ki Baato Par Mushtamil Hota He Or Ye Mumane'at w Izala e Munkir Par Qadir Na Hoga To Khwahi Na Khwahi Gunga Shaytan Or Kafir Ka Tabedar Ho Kar Majma e Kuffar Me Rahna Or Unke Kufriyat Dekhna Sunna Musalman Ki Zillat He.

Or Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Alaihir Rahma Kafiro Ke Gair Mazhabi Melo Ke Ta'alluk Se Farmate He,

Kafir Ke (Gair Mazhabi) Melo Me Jane Se Aadmi Kafir Nahi Hota Ki Aurat Nikah Se Nikal Jaye Jo Log Ayse Fatwe Dete He Vo Shariyat Mutaharra Par Iftara Karte He Albatta Is me Shareek Hona Musalman Ko Mana'a He.
*📚(Al-Malfooz, H-4, S-357)*

Or Kafiro Ke Mazhabi Mele Maslan Dashera Wagairah me Shirkat Ke Ta'alluk Se Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Gair Muslimo Ke Mazhabi Melo, Juluso Me Sharik Hona Sakht Haram He Balki Ba'az Soorto Me Kufr He. Maslan Unka Jhutha Badhane Ki Niyat se Koi Shareek Huva, Ya Un Ke Kufri Kamo Ko Achcha Jana To Kufr He Or Agar Sirf Tamasha Dekhne Ya Lahwa Laeeb Ki Niyat Se Shareek Huva To Haram W Gunah He.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-536)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts