*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum hazrat
8 saal ka ladka visal kar jaye, to kya qyamat ke din bhi ladka 8saal ka hi hoga? aur kya wo aakhirat me apne maa baap ke sath rahega?
jawab inayat farmaye
jazakAllah khair
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zahir Yahi He ke kal medane mahshar me log apni apni qabro se jis umr me faut huye he, Jis Halat me faut huye he, usi halat or usi umr me zinda hoge. Or Medane Mahshar me jama'a hoge, lihaza 8 saal ka ladka jo balugat se pahle inteqal kar gaya he vo kal qayamat ke din bhi 8 saal hi ka hoga. Or kal medane mahshar me vo apne maa baap ki shafa'at bhi karega, Albatta Sabse Pahle baabe shafa'at jo fat'ha farmayege, kholege, vo hamare aaqa nabi e kareem ﷺ hoge, uske baad digar hazraat shafa'at karege or usi me ye na-balig bachche jo balugat se pahle inteqal kar gaye vo bhi apne maa baap ki shafa'at karege.
Hatta ki Hadish Shareef Me Aaya,
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Jis Ka Mafhoom ye he ki Rab Tabarak W Ta'ala w Ta'ala usse Farmyega ja Jannat Me Dakhil Ho Jaa, vo jannat ke darwaze par khada rahega or intezar karega fir Rab Tabarak w Ta'ala ki bargah me arz karega ki ya ilaahal aalameen ! Me Jannat Me Dakhil Ho Jaau, Or Mere Maa Baap Dakhil Na Ho ? Allah Ta'ala Usko Dusri Ya Tisri Martaba irshad Farmayega Tu Bhi Jannat Me Dakhil Ho Jaa Or Tere Maa Baap Ka hath pakad le or fir unko bhi Jannat me Dakhil karde.
Isi Tarike Ka Mafhoom *📚Bahare Shariyat Hissa-1, Kitabul Aqaid* Wagairah Me Mukhtalif Jagaho Par maujud he.
Albatta Jannat Me Jane Ke Baad us Nabalig Bachche Ki Umr Kya Hogi ?
To Ma'az ibne Jabal RadiAllahu Anhu Ki Hadis He,
عن معاذ بن جبل أن النبي صلی اللہ علیہ وسلم قال:((یدخل أھل الجنۃ الجنۃ جردا مردا مکحلین أبناء ثلاثین أو ثلاث وثلاثین سنۃ))
*📚Sunan Tirmizi, Hadis-2554, j-4, S-244)*
Ma'az Ibne Jabal RadiAllahu Anhu ki Hadis Shareef he ki RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Har Jannati ki Umr 30 saal Ya 33 Saal Hogi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*✅ Al-Jawabus Sahih: Fakhre Ratnagiri, Hazrat Allama Mufti Alfaz Sahab Najmi, Karnatak*
*✅ Al-Jawabus Sahih: Abu Sadaf Hazrat Allama Sadiq Raza Sahab Qibla*
*Shahi Jaama'a masjid, Patna, Bihar*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment