Maaldar ko barsi ya Chahellum Ka Khana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam alaykum Hazrat
Sawal
Kya maal Dar Admi Ko *Barsi* Ka Khana..khana kaisa Hai
Shariyat Main Iska Kya Huqm Hai Or Oh Khana Kon khasakta hai
Jawab ata farmai

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Teeja, daswa, chaliswa, ya Barsi Ye Sab Isale Sawab Hi Ka Naam He, Or Isale Sawab Ka Khana Garib Faqeer Ameer Sab Ko Jaiz He, Magar Ameer Ya Sahibe Nisab Ko Nahi Khana Chahiye, Isse Gurez karna Bahetar, Kyu Ki Is Par Garibo Fuqra Ka Haq Zyada He.

Jaisa ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

(Gurba W Masakin Ke Alawa Dusre Log Khusoosan Masjid Ke Imam Mayyat Ka Khana) Kha Sakte He, Magar Bahtar Ye he Ki Agniya'a Na Khaye, Yahi Hukm Imam Ka He Gani (Sahibe Nisab) ho to Use Khana, Kapda Lena Bahetar Nahi, Or Sahibe Nisab Na Ho To Use Mazaiqa Nahi, Magar Jab Ki Baqadre Kifayat Kasb Par Qadir Ho To Use Sawal Najaiz He.
*📚(FATAWA TAJUSHSHARIYA, J-4, S-477)*

Or Farmate He,

Urfe Aam Par Banazar Shaahid Ke Chahellum Wagairah Ke Khane Pakane Se Logo Ka Maqsood  Mayyat Ko Sawab Pahuchana  Hota He, Is Liye Ye Fe'al Karte he, chunanche Use Fatiha Ka Khana, Chahelum Ki Fatiha Wagairah Kahte He, Or Bila Shubah Is Niyyat Se Khana Pakana Kaare Khair He, Or Taheqiq Ye He Ki Sirf Fuqra Hi Par Ayse Khano Ke Tasadduq Me Sawab Nahi Balki Agniya Ko Bhi Khilana Sawab Ka Kaam He.

Huzur ﷺ Farmate He,
فی کل ذات کید حر جزاء
*📚(Sunan Ibne Maja, Hadis-3686)*

Yaani Zinda Ko Khana Khilayega, Paani Pilayega, To Sawab Payega.

Fatiha Ka Khana Gani Ke Liye Haram Nahi, Use Bhi Khila Sakte He, Or Da'awat Bhi De Sakte He,  Agarche Afzal Yahi He Ki Sirf Fuqra Par Tasadduq Kare Or Maqsoode Sawab He To Sirf Faqiro Ko Khilana Munasib Tar He, ki Isme Sawab Aksar He, Fir Bhi Asl Maqsood Mafqood Nahi Jabke Niyyat Sawab Pahuchana He. Wahañ Jise Ye Maqsood Hi Na Ho Balki Mahaz Fakhri Mubahat W Naamo Namood Ka Tasadduq Ho To Uski Hurmat Me Aslan Kalam Nahi.

Hadise Sahih Me He,

Jo Khane Tafakhiro Riya Ke Liye Pakaye Jate He Un ke Khane Se Nabi ﷺ Ne Mana'a Farmaya. Or Jo Khane Ba Niyyat Isale Sawab Mahaz Da'awat W Mahmandaari ke Taur par shadyo ke khane ki tarah pakate he unhe sawab se kuchh ilaqa nahi aysi Da'awat ko qubool na karna chahiye ke aysi Da'awato ka mahal shadiyañ he na gami, walihaza aulma farmate he ki ye bid'ate Sai'yya He. Magar be Daleele Wazeh Kisi Musalman Ke Liye Ye Samajh Lena Ki Ye Kaam Is Ne Tafakhkhur w naamwari ke liye kiya he, jaiz nahi, ki Qalb Ka Haal Allah Ta'ala Janta He Or Musalman Par Badgumani Haram.
*Makhuz: 📚(FATAWA TAJUSHSHARIYA, J-4, S-463-467)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts