Puri Zakat Na Nikalne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam alaykum hazrat

Zaid ki Crodo ki propati hai ab zaid us main se Kam Zaqat Ada Karta hai Puri Maal Ke Nahi ada  karta to ab us maal ka kya huqm Hai Jo Oh Adhe Maal Ki Zaqat Ada Karta Th adhe ki nahi

Hazrat Shariat Ki roshni main jawab ada kre

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Soorate Mas'ula Me Sahih Tarah Se Zakat Ada Na Karne Par Zaid Gunahgar Mustahiqe Azab He, Zakat Ada Na Karne Par Azabe Ilahi Or Kai Saari Waeede He Jis Par Kai Ahadise Kareema W Aayate Qura'anya Warid He.

Jo Log Zakat Ada Karne Me Bukhl Karte He Sahih Tarah Se Zakat Ada Nahi Karte Unke Ta'alluk Se Qura'an Majeed Me Rab Tabarak w Ta'ala Farmata He,

وَلَا يَحْسَبَنَّ الَّذِينَ يَبْخَلُونَ بِمَا آتَاهُمُ اللَّهُ مِن فَضْلِهِ هُوَ خَيْرًا لَّهُم ۖ بَلْ هُوَ شَرٌّ لَّهُمْ ۖ سَيُطَوَّقُونَ مَا بَخِلُوا بِهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ.
Yaani Jo Log Bukhl Karte He Uske Sath Jo Allah Ne Apne Fazl se Unhe Diya. Vo Ye Guman Na Kare Ki Ye Unke Liye Bahetar He Balki Ye Unke Liye Bura He. Us Cheez Ka Qayamat Ke Din Unke Gale Me Tauq Dala Jayega Jis Ke Sath Bukhl Kiya.
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-180)*

Or Farmata He,
وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلَا يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ. يَوْمَ يُحْمَىٰ عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَىٰ بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنُوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ ۖ هَٰذَا مَا كَنَزْتُمْ لِأَنفُسِكُمْ فَذُوقُوا مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ.
Yaani Jo Log Sona Or Chandi Jama'a Karte Or Use Allah Ki Raah Me Kharch Nahi Karte He, Unhe Dardnaak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, Jis din Aatishe Jahannam Me Vo Tapaye Jaayeñ Ge Or Unse Unki Peshaniya Or Karwate Or Pithe Daagi Jayegi, (Or Unse Kaha Jayega) Ye Vo He Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama'a Kiya Tha To Ab Chakho Jo Jama'a Karte The.

Isi Tarah Ahadise Kareema Iske Bayan Me Bahut He Jisme Se Chand Ye He,

Sahih Bukhari Shareef Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marvi, RasoolAllah ﷺ Farmate He: Jis Ko Allah Ta'ala Maal De Or Vo Us Ki Zakat Ada Na Kare To Qayamat Ke Din Vo Maal Ganje Saañp Ki Soorat Me Kar Diya Jayega, Jiske Sar Par Do Chatiyañ Hogi. Vo Saañp Uske Gale Me Tauq Bana Kar Daal Diya Jayega, Fir Uski Baacheñ Pakdega Or Kahega Me Tera Maal Huñ, Me Tera Khazana Huñ, Uske Baad Huzur ﷺ Ne Is Aayat Ki Tilawat Ki,
وَلَا يَحْسَبَنَّ الَّذِينَ يَبْخَلُونَ..........
*📚(Sahih Bukhari, Kitabuz Zakat, Hadis-1403, J-1, S-474)*

Ahmad Ki Riwayat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Yuñ He, Jis Maal Ki Zakat Nahi Di Gai, Qayamat Ke Din Vo Ganja Saañp Hoga,(Saañp Jab Hazar Baras Ka Hota He To Uske Sar Par Baal Nikalte He Or Jab Do Hazar Baras Ka Hota He, Vo Baal Gir Jate He, Ye Ma'ana He Ganje Saañp Ke ki Itna purana Hoga) Malik Ko Dodayega, Vo Bhagega Yahañ Tak Ki Apni Ungliyañ Uske Munh Me Daal Dega.
*📚(Al-Musnad Al-Imam Ahmad Bin Hambal, Musnad Abi Hurairah, Hadis-10858, J-3, S-626)*

Sahih Muslim Shareef Me Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marvi, Farmate He RasoolAllah ﷺ: Jo Shakhs Sone Chandi Ka Malik Ho Or Uska Haq Ada na Kars to Jab Qayamat Ka din Hoga Uske Liye Aag Ke Paththar Banaye Jayege Un Par Jahannam Ki Aag Barhai Jayegi Or Unse Uski Karwat Or Peshani Or Pith Daagi Jayegi, Jab Thande Hone Par Aayege Fir Waise Hi Kar Diye Jayege. Ye Muaamla Us Din Ka He Jis Ki Miqdar Pachas Hazar Baras Yahañ Tak Ki Bando Ke Darmiyan Faisla Ho Jaye, Ab Vo Apni Raah Dekhe Ga Khwañ Jannat Ki Taraf Jaaye Ya Jahannam Ki Taraf......
*📚(Sahih Muslim, Kitabuz Zakat, Hadis-987, Safa-491)*

Bukhari Apni Tarikh Me Or Imam Shafai W Bazar W Bayhaqi Ummul Mu'amineen Saddiqa RadiAllahu Anha Se Ravi, Ki RasoolAllah ﷺ Farmate He, Zakat Kisi Maal Me Na Mile Gi, Magar Use Halak Kardegi.
*📚(Sho'abul Iman, Baab Fee Zakat, Hadis-3522, J-3, S-273)*

Ba'az A'imma Ne Is Hadis Ke Ye Ma'ana Bayan Kiye Ki Zakat Wajib Hui Or Ada Na Ki Or Apne Maal Me Milaye Raha To Ye Haram Us Halal Ko Halak Kardega, Or Imam Ahmad Ne Farmaya Ki Ma'ane Ye He Ki Maaldaar Shakhs Maale Zakat Le To ye Maale Zakat Us Ke Maal Ko Halak Kardega Zakat To Faqeero Ke Liye He Or Dono Ma'ana Sahih He.
*📚(At-Targeebo Tarheeb, Kitabus Sadqat, Hadis-18, J-1, S-309)*

*Makhuz: 📚(BAHARE SHARIYAT, J-5, ZAKAT KA BAYAN)*

Isi Tarah Kai Aaya e Kirama w Hadise Mubarika Zakat Ada Na Karne Wale Ke Haq Me Azab W Waeedo Ke Sath Warid Hui He.


Zakat Pure Ki Puri Ada Karna Zaroori he, Agar Kisi Ne Isme Bukhl W Kanjusai Se Kaam Liya Ki Puri Zakat Ada Na Ki Balki Thodi Ada Ki Thodi Na Ki Uske Haq Me Bhi Sakht Azab W Waeede He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts