Attahiyat Or Durood Ke Baad Sajda e Sahw Yaad Aaya To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Main 3 Rakat Vitr Padh Raha Tha Teesri Rakat Me Kul Shareef Padhke ruku Me Chala Gaya Duaa E Qunoot Padhna Bhool Gaya Ab Hona To Ye Chahiye Tha Ke Main Attahiyaat Padhke Ek Taraf Ke Salaam Pherke Sajda e Shaw Karta Lekin Waha Bhi Bhool Ho Gai Duroode Ibrahim Pehli Padhne Ke Baad Yaad Aaya Yaad Aate Hi Wahi se Sajda E Shaw Kiya Or Namaz Poori Ki Kya Namaz Ho Gai.

REHNUMAI Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula Me Sajda e Sahw Wajib tha or bhul se Qa'ada e aakhira me At-Tahiyat ke baad Duroode ibrahim padh liya or baad me yaad aaya ki sajda e sahw karna tha to yaad aate hi sajda e sahw kare, fir At-Tahiyat Wagairah padh kar salam ferde, Namaz Ho Jayegi.

Jaisa Ki Masaile Sajda e Sahw me he,

Kisi Par Sajda e Sahw Wajib Tha At-Tahiyat Ke Baad Sajda e Sahw Karna Yaad Na Raha, Durood shareef Ya duaa e Masura parhne me baad yaad aaya, to usi waqt Sajda e sahw kare fir At-Tahiyat Wagairah Padh kar salam ferde.
*📚(Masaile Sajda s Sahw, S-106)*

Or Bahare Shariyat Me he,

Sajda e Sahw ke baad Bhi At-Tahiyat Padhna Wajib he, At-Tahiyat Padh kar salam fere or bahetar he ki dono ka'ado (Yaani Sajda e Sahw se pahle or Sajda e Sahw Ke Baad) Me Durood Shareef Bhi Padhe. Or ye bhi ikhtiyar he ki pahle qa'ada me At-Tahiyat w durood padhe or dusre me sirf At-Tahiyat.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda e Sahw Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts