Gaane Ki Tarz Par Naat Padhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
assalamualaikum gane ki taraz me naat shareef padhna ya sunna kesa
hai aur aaj kal gaane ki taraz m naat shreef nikal rahi hai bina music ke wo sunna kesa hai plz Rahnumai farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Naat Shareef Ko Gaane Ki Tarz Par Padhna Or Sunna Dono Jaiz Nahi. Isi Tarah Agar Gaane Ki Tarz Par Bagair Mausiqi (Music) Ke Ho Tab Bhi Jaiz Nahi Ki Jab Vo Naat Ko Suna Jayega To Zahen Gane Ki Taraf Jayega, Or Naat Zikre Rasool ﷺ He, Lihaza Is Tarah Gaane Ki Tarz Par Naat Padhna Naat Ki Tauhin He Or Fussaq Ke Sath Musabehat He.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he

Naat Saada Khush Ilhani ke Sath Ho,  Gaano Ki Tarz Par Na Parhi Jaye.
*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-363)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts