Halate Musafir Me Chhuti Hui Namaz Ki Qaza Kasar Padhega ya Puri ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum Wa-Rahmatullhi Wa-Barkatuh

Ziad Ek Din Ke Liye Apne Shaher Se Takriban 100 km.  Se Zyada Dur Gaya... Ab Wo Apna Shaher Chhodte Hin Musafir Ho Gaya... Is Dauran Us Par Kasar Namaz Ka Hukm Hai....
Ab.....

Agar Is Safar Ke Dauran Koi Namaz Qaza Ho Gai Aur Zaid Apne Shaher Wapas Aa Gaya to Ab Us Safar Ki Namaz Ki Kaza Kaise Karega...?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Jo Namaz Jaisi Faut Hui Uski Qaza Waisi Hi Padhi Jayegi, Lihaza Musafir Se Safar Me Namaz Qaza Hui To Char Raka'at Wali Do Hi Parhi Jayegi Agarche Iqamat Ki Halat Me Parhe.

_Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He_

Jo Namaz Jesk Faut Hui Us ki Qaza Waisi hi parhi jayegi, Maslan Safar Me Namaz Qaza Hui to char Raka'at Wali do hi parhi jayegi Agarche iqamat ki halat me parhe or Halate Iqamat me faut hui to char Raka'at wali ki Qaza Char Raka'at He, Agarche Safar me parhe. Albatta Qaza parhne ke waqt koi azr he to uska aetbar kiya jayega, maslan jis waqt faut hui thi us waqt khada ho kar parh sakta tha or ab qaham nahi kar sakta to beth kar parhe ya us wqt ishara hi se parh sakta he to ishare se parhe or sehat ke baad uska ae'aada nahi.
*📚(Fatawa Hindiya, Kitabus Salat, J-1, S-121)*
*📚(Durre Mukhtar, J-2, S-650)*
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-4, S-53)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts