Musafir Kasar Ki Jagah Puri Namaz Padhle To Kya Hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum Wa-Rahmatullhi Wa-Barkatuh

Ziad Ek Din Ke Liye Apne Shaher Se Takriban 100 km.  Se Zyada Dur Gaya... Ab Wo Apna Shaher Chhodte Hin Musafir Ho Gaya... Is Dauran Us Par Kasar Namaz Ka Hukm Hai....
Ab.....

1.  Zaid Ne Kasar Namaz Ke Badle Bhul Se Zohar, Asar, Aur Isha Ki Farz Namaz Main Se Kisi Ek Ya Do Ya Tino Namazo Me Bhul Kar Puri Rak'aten Padhi To Ab Kya Hukm Hai...?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Agar Musafir Par Qasr Namaz Padhna Wajib He. Or Agar Musafir Ne Zohar, Asar, Ya Isha Ki Namaz Ko Kasar Ki Bajaye Puri 4 Raka'at Padhli Or usme 2 Raka'at Par Qaida Kiya To Farz Ada Ho Gaya or Pichhli Do Raka'ate Nafl Hui, Magar Gunahgar W Mustahiqqe Naar Huva Ki Wajib Tark Kiya, Lihaza Taubah Kare.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Musafir Par Wajib He Ki Namaz Me Kasr Kare Yaani Char Raka'at Wale Farz ko do padhe. Uske haq me do hi Raka'ate puri namaz he, Or Qasdan Char Pardhi Or Do Par Qa'ada Kiya to farz ada ho gaye or pichhli do Raka'ate nafl hui magar Gunahgar W Mustahiqqe Naar Hua Ki Wajib Chhoda, Lihaza Taubah Kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, NAMAZE MUSAFIR KA BAYAN)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts