*🌹SAWAL:-🌹*
Kafir Bank Se Milne Wala Nafa'a Ko Sood Kahne Se Kya Vo Sood Ho Jayega Or Vo Halal Hoga Ya Haram ?
Kafir Bank Se Milne Wala Nafa'a Ko Sood Kahne Se Kya Vo Sood Ho Jayega Or Vo Halal Hoga Ya Haram ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Kisi Ke Sood kah dene se vo sood na hoga, Haañ Use Sood Samajh Kar Lene Se Gunah Zaroor Hoga, Magar Vo Maal Halal He.
Jaisa Ki Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Farmate He,
Jab government ek raqam apni raza se khud zaaid deti he us ke lene me koi harj nahi ki vo sood nahi magar sood samajh kar lena zaroor gunah hoga, use samajhne se vo sood na ho jaega jo zaaid maal akz kiya maale halal he magar haram samajh kar liya uska gunah hua.
*📚(FATAWA MUSTAFIYA, S-414)*
Isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,
Is Nafa'a Ko(Kafir Bank Se Milne Wala Intrest) Kisi ke Sood Kah dene se Shariyat Ke Nazdik Sood Nahi Ho Jayega.
*Makhuz:📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-387)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment