Mimbar Ki Kitni Sidi Honi Chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
Mimbar Me Kitni Sidiya Honi Chahiye?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mimbar Ke Liye Shariyat Mutaharra Ne Sidiyoñ Ki Ta'adad Muqarrar Nahi Ki Ke Us Ginti Ka Pura Karna Zaroori Ho, Jama'at Ki Kasrat Ka Khayal Karke Jitni Sidiyañ Chahe Banaye.

Sahih Muslim Shareef Me,
Mimbare Nabwi Alaihis Salam Ke Muta'alliq Ek Taweel Hadees Sahal Bin Sa'ad RadiAllahu Anhu Se Marwi Usi Me Ye Lafz Bhi He,
فعل ھذہ الثلث درجات ثم امر بھا رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم فوضعت ھذالموضع
Us Shakhs Ne Ye 3 Zeeno Ka Mimbar Banaya.
RasoolAllah ﷺ Ke Hukm Se Us Jagah Rakha Gaya.

Imam Navvi Is Hadees Ke Tahat Me Farmate Hai,
فیہ تصریح بان منبر رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم کان ثلث درجات
Is Hadees Me Tashreeh He Ki RasoolAllah ﷺ Ka Mimbar 3 Zeeno Ka Tha. Lihaza 3 Sidiyoñ Ks Mimbar Par Na Aitraaz Ho Sakta He Na Use Khilafe Sunnat Kaha Ja Sakta He.
*📚Aysa Hi, (Fatawa Amjadiya, J-1, S-288)* Me He.

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Mimbar Khud RasoolAllah ﷺ Ne Banwaya Or Us Par Khutba Farmaya

کما ثبت فی الصحیحین وغیر ھما حدیث سھل بن سعد رضی اﷲ تعالی عنہ
Mimbare Aqdas Ke 3 Zeene The Alawa Upar Ke Takhte Ke Jis Par Bethte Hai.
*📚(Sahih Bukhari, J-1, S-125, Matbuaa Qadeemi Kutub Khana Karachi)*

Raddul Muhtar Me He,
منبرہ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم کان ثلث درج غیر المسماۃ بالمستراح
Huzur ﷺ Ke Muqaddas Mimbar Ke 3 Zeene Us Takht Ke Alawa The Jis Par Betha Jata He.
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-608)*

Balandi Mimbar Se Asl Maqsad Ye He Ki Sab Hazreen  Khateeb Ko Dekhe Or Uski Aawaz Sune Jahañ Ye Hajat Ba-sabab Kasrat Hazaar W Doori Safof 3 Zeenoñ Me Puri Na Ho To Zeene Zyada Karne Ka Khud Hi Ikhtiyar He Or Bahetar Adade Taaq (yaani 1,3,5,7,9,...)ki Maraa'aat.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-8, S-343)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 June 2020, 19 Shawwal 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Aurtoñ Ko Artificial Jewellery Pahanna Jaaiz nahiñ...

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum  Muftiyan E Ikram Ki Baargha Mai Ek Sawal Arz Hai Kya Aurten Artificial Jewellery Pahen Sakti Hai??? *🌹JAWA...

Popular Posts