*🌹SAWAL:-🌹*
Masajid Me Mimber Kyu Bnaya Jaata Hai
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Khatib Ka Wa'az Nasihat Ya Khutba Mimber Par Dena Ambiya Alahis Salam Ki Sunnat He, Yahi Wajah He Ki Masjid Me Mimbar Rakha Jata He, Jisse RasoolAllah ﷺ Ki Sunnat Ke Mutabik Khatib Mimbar Par Khutba Ada Kare.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Khutba Ki Sunnato Me Se Ek Ye He Ki Khatib Ka Mimbar Par Hona.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-4, S-117)*
Or Dusri Jagah He,
Mimbar Par Chad Kar Wa'azo Naseehat Karna Ambiya Alaihis Salam Ki Sunnat He.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-16, S-269)*
Fatawa Razviya Me He,
Balandi E Mimbar Se Asl Maqsad Ye He Ki Sab Hazreen Khateeb Ko Dekhe Or Us Ki Aawaz Sune.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-343)*
Or Hadees Shareef Me He,
Hazrat Nabi E Akram ﷺ Masjide Nabwi Me Khajoor Ke Tane Se Tek Laga Kar Khutba Irshad Farmaya Karte The, Jab Sahaba E Kiram Ki Ta'adad Badh Gai To Sahaba E Kiram Arz Pardaar Huve, Ya RasoolAllah ﷺ Yaqeenan Musalmano Ki Kasrat Ho Chuki He, Is Liye Kya Hi Achha Hota Ki Aap Aysi Koi Cheez Ikhtiyar Farmaye Jis Par Khutba Ke Waqt Qayam Farma Ho, Taaki Log Aap Ke Didar Oa Sharf Hasil Kar Sake, To Huzur ﷺ Ne Farmaya, Jaisa Tum Chaho, Thik He.
*📚(Al-Tabqatul Kubra, J-1, Zikre Mimbare Rasool ﷺ)*
Or Ek Dusri Hadees Me He,
Hazrat Sahal Bin Sa'ad RadiAllahu Anhu Ka Bayan He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Ek Khatun Ki Taraf Paigam Bheja Ki Apne Barhaee (carpenter) Gulam Se Mere Liye Lakadyo Ki Koi Aysi Cheez Banado Ki Jis Par Beth Kar Logo Se Guftagu Kar Sakuñ. Us Khatun Ne Apne Gulam Ko Hukm Diya Ki Jangal Se Jaao (ki Lakdi Ka) Mimbar Banado, Vo Tayyar Karke Laya To Us Aurat Ne Use Nabi E Paak ﷺ Ki Bargah Me Pesh Kar Diya, Nabi E Kareem ﷺ Ke Hukm Ke Mutabiq Use Rakha Gaya Or Aap ﷺ Us Par Tashreef Farma Huye.
*📚(Bukhari, J-2, S-17, Hadees-2094)*
Or Allama Badruddin Ayni Rahematullah Alaihi Farmate He,
ومنھا ان فیہ استحباب اتخاذالمنبر و کون الخطیب علی مرتفع کمنبر وغیرہ
Yaani Masjid Me Mimbar Banana Or Khatib Ka Mimbar Wagairah Jaise Buland Maqaam Par Khada Hona Mustahab He.
*📚(Umdatul Qaari, Kitabus Salata)*
Or Fatawa Aalamgiri Me He,
ومن السنۃ ان یکون الخطیب علی منبر اقتداء برسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
Yaani Huzur ﷺ Ki Itba'a Karne Ke Liye Khateeb Ka Mimbar Par Hona Masnoon He.
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-1, S-147)*
Lihaza Ahadise Kareema Se Wazeh He Ki Masjid Me Mimbar Par Chad Kar Khutba Dena Huzur ﷺ Ki Sunnat He, Or Mimbar Banana Mustahab He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 June 2020, 17 Shawwal 1441*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment