Tasweer Na Khichane Wala Imam Kahi Na Mile To Panjwaqta Or Jumuah Ki Namaz Kese Padhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aaj Ke Daur Me Aysa Imam Nahi Mil Pata Jo Apni Tasweer Khichta Ya Khichwata Na Ho To Ayse Waqt Me Ham Kya Kare ? Me Jis Shahar Me Rehta Hu Vaha Ki Zyadatar Masjido Me Imam Ayse He Ki Photo Khichte Ya Khichate He To Hazrat Namaz Kis Tarah Se Padhe ? Or Jumuah Ki Namaz Ka Kya Hukm Hoga ? Hazrat Rahenumai Farmaye Ki Ham Kya Kare ??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jandar Ki Tasweer Khichna Ya Khichana Ya Adban Apne Paas Rakhna Najaaizo Haram He. Jo Imam Apni Tasweer Khichta Ya Khichata He Vo Fasiq He, Iske Bare Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Agar Ailaniya Fisqo Fujoor Karta He Or Dusra Koi Imamat Ke Qabil Na Mil Sake To Tanha Namaz Padhe.

فان تقدیم الفاسق اثم والصلاۃ خلفہ مکروھۃ تحریما والجماعۃ واجبۃ فھما فی درجۃ واحدۃ ودرء المفاسد اھم من جلب المصالح۔

Kyuñ Ki Taqdeeme Fasiq Gunah He Or Uske Pichhe Namaz Padhna Makroohe Tahrimi Or Jama'at Wajib He, Pas Dono Ko Darja Ek Huva, Lekin Masaaleh Ke Husool Se Mafasid Ko Khatm Karna Aham Or Zaroori Hota He.


Or Agar Koi Gunah Chhupa Kar Karta He To Uske Pichhe Namaz Padheñ Or Uske Fisq Ke Sabab Jama'at Na Chhoreñ.

Kyuñ Ki Jama'at Wajib He Or Fasiqe Gair Mu'allin Ke Pichhe Namaz Padhna Zyada Se Zyada Makroohe Tanzihi He.

*📚(Fatawa Razviya Jadeed Jild-6, Safha-602, Maktabul Madina)*


Lihaza Jo Imam Ailaniya Tasweer Kashi Karta Ho Ya Karata Ho Vo Fasiqe Mu'allin He Use Imam Banana Gunah Or Uske Pichhe Namaz Padhna Makroohe Tahrimi Yaani Namazo Ka Ae'aada Wajib. Lihaza Sabhi Jagah Fasiqe Mu'allin Imam Ho To Panjwaqta Namaz Unke Pichhe Na Padhe Balki Tanha Tanha Padhle. Or Jo Imam Tasweer Kashi Chhup Kar Karta Ho Uske Pichhe Namaz Makroohe Tanzihi He, Lihaza Or Makroohe Tanzihi Ke Sabab Jama'at Tarq Na Kare..


Or Jumuah Ke Ta'alluq Se Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Fasiq Ki Iqteda Na Ki Jaye Magar Sirf Jumuah Me Ke Is Me Majboori He, Baki Namazo Me Dusri Masjid Ko Chala Jaye Or Jumuah Agar Shahar Me Chand Jagah Hota Ho To Usme Bhi Iqteda Na Ki Jaye, Dusri Masjid Me Jaa Kar Padhe.

*📚(Gunaytut Talibin, Raddul Muhtar, Fathul Qadeer)*


*📚(Bahare Shariyat, H-3, Baab- Imamat Ja Zyada Haqqdar Kon, Safa-569,Maqtabul Madina)*


Lihaza Jumuah Ki Namaz Bhi Ba-Shara'a Imam Ke Pichhe Hi Padhe Or Agar Kahi Dusra Sunni Sahihul Aqeeda Ba-Shara'a Imam Na Mile To Us Waqt Ham Majboor He Jumuah Ki Namaz Fasiq Ke Pichhe Majboori Me Padh Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️16 March 2021, 02 Shaban 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts