*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم و رحمة الله و بركاته
Sawal Arz Haike ,Zaid Imaam Hai Namaze Qaser Mein Bhool Ker Do Raka't Ki Jagah Char Raka't Ki Niyyat Kerta Hai, Qaidae Uola Mein Yaad Aane Per, Ab Do Rak'at Per Hi Salam Pheyr Leta Hai,
Kiya Zaid Ki Aur Zaid Ke Peeche Muqeem Aur Musaafir Muqdadiyon Ki Namaz Durust Hogi.
Baray Karam Rahnumai Fermaein
JazakAllahu Khaira
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zaid Ki Or Zaid Ke Pichhe Tamam Muqtadiyoñ Ki Namaz Sahih Sahih Ada Ho Gai. Kyuñ Ki Niyyat Me Ta'adade Raka'at Ka Ta'ayyun Zaroori Nahi He.
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Alaihir Rahmato Ridwan Bahare Shariyat Me Taherir Fatmate Hai,
Niyyat Me Ta'adade Raka'at Ki Zaroorat Nahiñ Albatta Afzal He, To Ta'adade Raka'at Me Khata Waqe'a Hui Maslan 3 Rak'ateñ Zuhar Ki Ya 4 Raka'ateñ Magrib Ki Niyat Ki, To Namaz Ho Jayegi.
*📚(Bahare Shariyat, Namaz Ki Shartoñ Ka Bayan, J-3, Mas'ala-92)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment