*🌹SAWAL:-🌹*
Shawwal Ke 6 Roze Ramzaan Sharif Ke Qaza Roze Ki Niyyat Se Rakh Sakte Hai Ya Nafil Ki Niyyat Se Hi Rakne Hoge ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jinke Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Baaqi Hoñ To Unheñ Nafl Rozoñ Ki Jagah Ramzanul Mubarak Me Farz Roze Rakhna Chahiye Taaki Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Bhi Ada Ho Jayeñ Or Farz Rozoñ Ki Ada Ki Barkat Se Allah Ta'ala Nafl Rozoñ Ka Sawab Bhi Apne Gaib Se Ata Farmaye Is Tarah Zyada Sawab Ki Ummid He.
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
فان اشتغل بالسنن والنوافل قبل الفرائض لم یقبل منہ واھین۔
Yaani Farz Chhor Kar Sunnat W Nafl Me Mashgool Hoga Ye Qabool Na Honge Or Khwar Kiya Jayega.
*📚(فتوح الغیب مع شرح عبدالحق الدہلوی المقالۃ الثامنۃوالا ربعون منشی نولکشور لکھنؤ ص ۲۷۳)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-179)*
Or Huzur Khalile Millat Hazrat Allama Mufti Khalil Ahmad Khan Qadri Alaihir Rahma Farmate Hai,
Jo Shakhs Nafl Namaz Or Nafl Roze Ki Jagah Qaza E Umri, Farz W Wajib Ada Kare Vo Lo Lagaye Rakhe Ki Maula Azwajal Apne Karame Khas Se Qaza Namazo (Or Rozoñ) Ke Zaman Me Un Nawafil Ka Sawab Bhi Apne Khazaine Gaib Se Ata Farmaye Jin Ke Awqat Me Ye Qaza Namaze Padhi Gai (Or Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Rakhe Gaye)
*📚(Sunni Bahishti Zewar, Nafl Namazo Ka Bayan, J-2, S-104)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918487928693
*🗓️24 May 2021, 11 Shawwalul Mukarram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment